Search This Blog

CAT'S CHORD TALISMAN

Aaj kay is Mehangai bharay dor main har shaks Maali parayshani main ghira hoa nazar aata hai, Karobari parayshania, Karz ka boj, Ghar wa Family ka kharch etc, Har dosra shaks Gorbat wa fikar kay daldal main dhansta chala jaata hai woh apni taraf say har mumkin koshish karta hai kay is daldal say osay nijat milay magar jab osay koi raasta nazar nahi aata to woh suiside karnay par majbor hojata hai ya phir galat na jaiz aur haram tarikon say jald ameer bannay kay tarikay dhondta hai jis say woh sirf dunia main mojrim nahi banta balkay mazhab say bhi kat jaata hai, duniawi aur akhrat dono ki zindagi oskay liay jehnam ban jaati hai, woh din ba din haywan banta chala jaata hai aur haywani khuwaishat osay shaitan bana deti hain, mera is tarah kay shaitan logon say bazar main samna hota rehta hai jo kafi mehangi cheezay sell kartay hain aur ramzan jesay pak aur muqadas mahinay ka lehaz tak nahi kartay jhooti kasamay kha kar jhoot bol detay hain, is say menay yeh ghor kia kay yeh bhi aak marz aur bimari hai jo virus ki tarah pheli hoi hai aur kai log is bimari main mobtala hain,
Allah pak nay har Bimari aur marz say nijat aur shifa kay liay kai cheezay dunia main peda ki hain jis kay istamal say insan bari bari bimario aur amraz say nijat hasil kar leta hai, aysa tab mumkin hota hai jab insan Allah pak ki banai dunia main ghor wa fikar karta hai aur apni zahanat aur tajarbat say aysi aysi medicines banata hai jo bimario main shifa deti hain,
Same isi tarah Karobari parayshania, Bandish, Gorbat, Karz, Fikar wa Faka bhi bimaria aur amraz hain jistarah bimaria zindagi ka hisa hain aur har insan bimar bhi hota hai aur shifayab bhi hojata hai isi tarah yeh parayshania bhi insan ki zindagi main aati hain theek hojati hain to kabi theek honay ka nam nahi leti balkay barhti he chali jati hain, jismani bimario aur amraz say shifa kay liay hum medicines kha kar theek hojatay hain magar karobari parayshania wa bandish, gorbat, fikar wa faka jesi bimario say nijat kesay mumkin hai iskay baray main yahan main aap kuch share karnay jaraha hon,
Maali parayshani, rupay pesay main tangi, karobar aur rizaq main barkat ka na hona aur bandish ki kai wajohat hoti hain jo sitaron kay boray asrat ki waja say hoti hain ya phir jaadu kay bad asrat say ya phir kisi ki nazar e bad ya hasad say bhi ya phir kisi manhos ki nahosat say, saaya ya jinat kay boray asrat say bhi hoti hain, in sub say nijat hasil karnay kay liay sadion say humaray bozrog jo rohaniat main ghor wa fikar kartay hain aur apnay tajarbat say aysi aysi cheezay ya rohani medicines banai hain jis kay istamal say hum in sub rohani bimario aur amraz say nijat hasil kar saktay hain aur in khas cheezon ya medicines ko "TILSIM" kaha jaata hai aur aaj main in bari bozrog hastio kay Nayab Tilsimat jo seena ba seena muntakil hotay hain kisi say share nahi kiay jaatay in Tilsimat main say Aak Azeem Tilsim yahan aap say share kar raha hon jiskay istamal say karobari parayshania, rupay pesay ki tangi, bandish, gorbat, karz wagayra jesi maali parayshanio say nijat hasil hojay gi.

Yeh nayab Tilsim Cat yehni Billi main say hasil hota hai aur is Tilsim ko Billi ki Naal, Billi Ki Jer, Billi ki oor ya Billi ki Anool kehtay hain aur English main isay Cat's Chord ya Cat's Umbilical Cord kaha jaata hai, 
Arabic ki qadeem Books main is tilsimat kay mutalik olma e batin nay kafi detail say likha hai aur iskay azeem asrat jo insan ki zindagi main khushali latay hain oskay mutalik kafi kuch bayan kia hai, yeh Dast e gayb ka aysa zabardast tilsim hai jiski jitni bhi tarif ki jay kam hai, Arabic ki qadeem kitab "Pordmamanishas" main Aamir bin Hayan Al-khulani nay is Tilsim ki tafseel istarah likhi hai kay Jab Aftab Borj Sabit may Mashtari motkaran hoto os waqat kali Billi ki Anol lekar osay khushk karkay osay musk wa saffaron say dhoop dekar sonay kay banay taweez kay khol main dal kar galay ya baazo main bandh lay, is tilsim kay asrat say os shaks ki tamam karobari parayshania chand he roz main dor hojati hain aur dekhtay he dekhtay oskay halat behtar say behtar bantay chalay jatay hain  aur osay apnay gorbat aur parayshani kay din yaad tak nahi rehtay kay kabi woh gareeb tha, rizaq main barkat, maal wa zar main taraqi kay sath oski izat wa aabro main bhi izafa hota hai, rizaq e hilal aur maal ki kasrat say oski zindagi aysh wa ishrat say gozarti hai, woh aysa gani hojata hai kay khuda kay siwa woh kisi ka mohtaj nahi rehta,
Kitab "Pordmamanishas" kay ilawa Arabic ki qadeem kitab "Kabeer Imam" main Abu Tayb Salah Kaldi is tilsim kay mutalik farmatay hain kay yeh tilsim bala shak wa shoba rizaq, maal wa zar ki kashaish kay hasool kay liay kamiab wa bay khata tilsim hai jisay akabar olma e rohaniat nay amal wa tajarbat kay meezan par tol kar aak mowasir tilsim kay tor par taslem kar lia hai, kitab "Yanabeh Al-Tilsimat" may Qazi Saad is tilsim kay silsilay main yeh kol bayan farmatay hain kay maal wa maash barhanay aur khushali kay liay yeh tilsim nihaet sacha aur dorast hai aur istarah kay amliat main say sub say barh kar ajeeb al-asar aur kaseer al-fowaid khusosiat ka hamil hai, isitarah kitab "Asar Al-Aadad main Hakim Taaos ibn Tarmah likhtay hain farakhi rizaq kay yeh tilsim apnay hayrat angayz kamalat kay sabab aak aysa akseer al-asar tilsim hai jiskay mokhfi asrat ka har olma e tilsimat har tabkay aur mazhab ka kael hai, Kitab "Al-Ajaib Al-Garayab" main Qazi Abdul Rehman Sharani nay bhi is tilsim ko olma e tilsimat wa rohaniat kay aak mastand wa mojrab tilsim kay tor par bayan kia hai, Shaikh Kays bin Tarfa Bolani apni kitab "Taalikat" may tehreer farmatay hain kay farakhi rizaq kay silsilay ka yeh tilsim tilsimati nawadrat may aak azeem tarin amal kay tor par maqbol wa marof hai jisay oloom e mokhfiat wa rohaniat kay muslima olma nay farakhi rizaq kay silsilay kay tamam tar aymal main bator e khas aak la jawab wa bay misal amal kay tor par motwatir nakal hai,
Kitab "Risael Halalia" may is tilsim ko Siahtos sani mashor kaldi sahir kay aak mojrab wa azmoda tilsim kay tor par bari tareef kay sath bayan kia gaya hai, Kanian bin Anosh apni kitab "Kasaid" may is tilsim kay mutalik tehreer karta hai kay yeh aak aysa tilsim hai jiska mainay khud tajorba kia hai aur isay sahi paya hai, kasaid jesi mashor tarin kitab may kanian bin anosh jesi azeem shaksiat ka is tilsim ko sahi kehna iski afadiat ko wazay karnay kay liay kafi hai, kitab "matalab Aleon" may is tilsim ko imam Harmis say mansob kar kay naqal kia gaya hai, Kitab "Shamael Al-Sehar" may is tilsim kay mutalik likha hai kay taraqi rizaq kay liay yeh tilsim fe haqeqat aak asar afrin tilsim hai jo kabhi khata nahi karta, kitab "Mukhtar Al-Hakam" may Hakim Jalineos bhi apnay mojarbat may is tilsim ko rizaq may taraqi aur dafa e fikar wa faka kay liay sahi wa mojrab aur asar angayz kay tor par tehrer farmatay hain,
Itnay olmao aur motbar hastio ka is tilsim kay mutalik apni kitabon main likhna yeh zahir karta hai kay is azeem tilsim main zaror aysa asrat hain jo insan ki bori kismat ko khushhal bana detay hain,


Yeh Tilsim khud mainay apnay liay bhi hasil kia aur iskay zabardast mokhfi asrat ka may khud kael hon, is tilsim ki madad say mainay kai kam kiay hain aur aab bhi karta hon, is tilsim ko hasil karnay say pehlay menay is tilsim kay mutalik kafi sona aur parha tha aur meray dil main yeh khuwaish peda hoi kay meray pas bhi yeh tilsim ho, menay kai logon say yeh tilsim mo mangay peson say kharida bhi magar woh sub fake aur jali thay woh checharay thay jis say koi faida to na hoa khud olta noksan othana para pesay aur waqat barbad hoa phir menay socha kuo na may khud is tilsim ko hasil karnay ki koshish karon aur phir meray gao(village) main meray jannay walay kay pas pet cat yehni pali hoi billi mojod thi jo pregnant thi may bay sabri say intazar karnay laga kay jab woh bacha janay aur main billi ki naal hasil kar lon magar afsos billi bacha jantay he bachay ko chaat chaat kar naal bhi kha gai aur mujay kuch hasil na hosaka,
May apnay ilm wa tajorbay ki boniad par yeh arz karna chahata hon aap sub say kay Billi ki anol ya naal hasil karna aak moshkil tarin amal hai magar na mumkin nahi, billi jab bacha janti hai to kisi shaks ko apnay kareeb anay nahi deti aur agar koi kareeb oskay chalay jay to woh gardan ki taraf jhapat kar katnay ki koshish karti hai agar os waqat kisi shaks ki gardan oskay danton main agai to woh shaks mar bhi sakta hai kuo kay billi gardan par nazok hisay ya nas par attack karti hai jis say insan bay has hokar gir parta hai aur gardan ki nas ko billi danto say okhar kar os shaks ko mar dalti hai, isliay yeh kam bohat dhian aur ahtiat say kia jay, may is tilsim ki talash may kai arsay say tha aur akhir kar mujay aak fakir nay gao may tarika bataya, oskay bata ay tarikay say mainay asani say billi ki naal hasil kar li aur aab bhi isi tarikay say kai aur bhi hasil ki hain aur dosron ko bhi sell ki hain aur aab bhi sell karta rehta hon, aur aab may aap sub say yahan woh asan tarika share karta hon jis say billi ki jaar ya anool asani say bina kisi khatray kay hasil ki jasakti hai:
Billi ki anool hasil karnay ka tarika sub say asan yeh hai kay aak bara cage ya pinjara ho jis may koi chadar bicha kar ospar chawalon kay chilkay bicha do aur pregnant billi jo an kareeb bacha peda karnay wali ho osko cage main band rakho jab woh bacha jannay gi to chawalon kay chilkay anool ya naal par chimat jay gay aur billi bawajod koshish kay osay kha na sakay gi kuo kay chawal kay chilkay woh sharp nokilay hotay hain kanton ki tarah oski ziban par chobay gay, os waqat aap asani say naal ya anool lekar achi tarah dho kar saaf kar kay apnay pas mehfoz rakh saktay hain, isi tarikay say may kafi billi ki naal ya anool hasil karta rehta hon aur kai logon ko sell karta rehta hon meray gao(village) may meray rishtaydar ka bara sa kabootaro ka pinjara hai osi may yeh kam may karta hon jiski kuch images aap say share karta hon:
yeh hai woh pinjara jis kay zariay may billi ki naal ya anool hasil kar leta hon, image may aap ko malum par gaya hoga kay kis tarah chadar bicha kar chawal kay chilkay rakhnay hain,





Cat's Chord yehni Billi ki naal ya Anool hasil hojanay kay baad osay achi tarah pani say dho kar saaf kar kay matti ki kisi choti piali ya bowl main dal kar barik jali dar kapra bowl par dori say bandh kar rakha jata hai,
 
 Bowl may Cat's chord ko dal kar bowl ka mo barik jali dar cloth say bandh kar osay dhoop wali kisi mehfoz jaga par rakha jata hai takay woh dhoop may bilkol dry aur khushk hojay, barik kapra isliay bandha jaata hai takay keeray makoray ya kaway osay kha na sakay,


Cat's Chord Dry ya khushk honay kay baad sokar kar choti hojati hai, tez dhoop may 3 ya 4 din ya 1 week tak rakha jata hai takay achi tarah khushk hojay, khushk honay kay baad cat's chord sokar kar istarah ban jati hai:




Jab Cat's Chord achi tarah khushk ya dry hojay oskay baad cat's chord ko incense ya khushbo dar dhoni deni hoti hai takay osmay jo bhi bo wagayra ho woh khatam hokar bilkol saaf hojay, Cat's chord ko Incense ya dhooni may jo ingredients use hotay hain woh yeh hain: 
Saffron, Loban(frankincense), Gogal(Benzoin), Golab ki khushk patia(Dry Rose petals) aur Bukhoor, in sub ko apas main mix kar kay dhoni di jaat hai, may apnay incense holder may charcoal cubes jala kar oskay zariay dhoni deta hon:



Achi Tarah Dhooni denay say cat's chord sokta hojati hai bo wagayra jo bhi os may hoti hai khatam hojati hai, dhooni denay kay baad cat's chord ko raat kay waqat chand ki roshni may kholay asman talay rakha jata hai is ko amal e tanjim kehtay hain, chand aur sitaron ki roshni ya rays say tilsim charge hotay hain aur tanjim ka amal cat's chord par karna zarori hota hai,
Amal e Tanjim kay liay may glass bell jar use karta hon, cat's chord ko dhagay may bandh kar bell jar kay andar latka deta hon, bell jar kay andar cat's chord matti ya dust lagnay say safe hoti hai aur har taraf say osay chand aur sitaron ki noorani rays ya roshni lagti rehti hai, sari raat osay isitarah rakhna hota hai aur subha suraj nikalnay say pehlay othana hota hai, agar soraj nikal aya aur soraj ki dhop lag gai cat's chord ko to amal e tanjim kharab hojata hai jis say aap ko phir dobara yeh amal karna paray ga,
Tanjim kay amal kay baad cat's chord ko sindoor main dal kar rakha jata hai, sindoor main cat's chord kabi kharab nahi hogi na os may germs lagay gay os may preserved hojay gi,
Sindoor laganay kay baad cat's chord ko kisi chotay box may dal kar os jaga rakhni hoti hai jahan cash, jewellry ya keemati cheezay rakhi hoti hain, cat's chord ko chopa kay rakha jata hai kisi ko na oskay mutalik bataya jata hai na he kisi ko dikhaya jata hai warna iskay subi asrat khatam hojatay hain,



~*~ BLACK CAT'S CHORD ~*~
Kali Billi ki naal ya anol sub say nayab mani jaati hai yehni aysi kali billi jiska aak baal bhi safaid ya white colour ka na ho, kali billio kay aksar payt kay hisay par white baal hotay hain, kali billi aysi bohat kam nazar aati hai jis ka aak bhi baal safaid rang ka na ho is type ki cat' chord kay asrat bohat powerful hotay hain jo aur rituals aur amliat main kam atay hain, black cat's chord ka hasil karna ka tarika wahi same hai jo opar bata choka hon magar iska ritual change hota hai, black cat's chord ko dhoop aur soraj ki roshni say bacha kar mehfoz rakhna hota hai, black cat's chord ko zara bhi dhoop lagi oskay asrat khatam hojatay hain, black cat's chord hasil karnay kay baad osay matti kay pot may rakha jata hai,

  Black cat's chord ko matti kay pot may dal kar barik jali dar cloth bandh kar pot par taweez ya talisman banaya jata hai aur phir pot ko kisi andhayri jaaga par 1 lunar month chand kay mahinay ya kamiri mahinay ki pehli tarikh say lekar new chand ki date tak rakha jata hai, har thursday yehni jomayrat ko dia aur agarbati ya incense ki dhoni di jaati hai.


~*~ CAT'S CHORD KAY AMLIAT ~*~ 
Cat's chord kafi Amliat main use hoti hain aur iskay fawaid bay shomar hain kuch main yahan aap say share karta hon:
Aaj kal maali parayshanion kay sath aak aur bhi bara masla bhi aham hai woh masla larkion kay rishtay ya shaadi ka na hona hai, aksar larkion ki age bohat ziada hojati hai laykin onka kahin munasib shaadi kay liay rishta nahi aata jiski waja say parents ka sukon barbad hokar reh jata hai, shaadi waqat par na honay ka aak sabab yeh bhi hai kay larki kay parents ki yeh koshish hoti hai kay woh apni beti ko achi say achi taleem dila ay, isi waja say larkio ki age bohat ziada hojati hai, dosri waja sehar wa jadoo ki waja say bandish ki waja say bhi rishtay nahi aatay, sitaron ki gardish ki waja say bhi aysa hota hai, in sub problems ko theek karnay kay liay cat's chord aak powerful tilsim hai jisay larki agar chandi kay khol may taweez ki tarah dal kar galay may pehnay to Allah pak kay hokam say sub boray asrat khatam hokar woh larki har dil aziz ban jay gi aur oska rishta jald say jald achi munsabi jaga hojay ga, menay yeh taweez kai logon ko diay hain onko faida hoa hai aur iska moshaida may kar choka hon.

Isitarah agar cat's chord ko silver kay taweez kay khol main dal kar apnay pas rakh kar court may kisi case kay silsilay may jay to faysla osi kay haq may jay ga jiskay par cat's chord hogi yeh kai dafa ka azmoda amal hai.

Hob wa Taskheer ka aak misri amal aap say share kar raha hon, black cat's chord ko chand girhan kay waqat new cotton ki roi may lapait kar chandi kay chirag may pure ghe ya jasmine ka khushbodar oil dal kar is chirag say kajal taiyar karay, jo shaks is kajal ko laga kar baray say bara officer kay samnay jay to woh officer meharbani wa izat say pesh ay ga aur jo matlab hoga foran pora karay ga, is kajal kay istamal say dushman aur hasad karnay walay log bhi meharban ban jatay hain, agar kisi mehbob kay pas yeh kajal laga kar aak nazar dekhay to mehbob farmabirdar ban jata hai, is kajal laganay walay say tamam log muhabat karay gay woh mehbob e khawaten hoga.

~*~ HISTORY OF CAT'S CHORD ~*~
Cat's chord Tilsim ki tarikh bohat qadeem hai is tilsim ka taluk ancient Egypt say hai yehni yeh misri tilsim hai, Ancient Egypt kay log Billi ko bohat mantay thay, onkay nazdek billi aak muqadas janwar hai jis main achay aur boray dono asrat hotay hain, Billi ki nahosat say woh itnay khofsada hotay thay kay agar onkay ghar main koi billi mar jay to ghar kay subi log apnay jism kay baal kat kar ibadat may masrof hojatay thay,
Agar koi shaks billi ko mar deta to misri log osay mot ki saza detay thay, aur billi kay marnay kay baad misri log osay mummy bana kar sacred jagaon jesay onkay temples wagayra ki khas jagahon may dafan kartay thay,
Misri log Billi kay mokhfi asrat kay kael thay onkay nazdek cat's chord bohat he muqadas chez mani jati thi yeh woh parda hota hai jis kay andar billi ka bacha mehfoz rehta hai aur is parday ya chord ko misri log bohat ahtiat say hasil kar kay mummified kar kay osay preserved kar kay apnay pas ya ghar may rakhtay thay aur woh is chez kay asrat ko khob achi tarah samajtay thay, woh cat's chord ko mummified ya dry sokhanay kay liay natron salt jo rayt ya registan may hota hai woh laga kar canopic jars ya pots jis may talisman ya taweez bananay hotay thay os may rakha kartay thay,
Misri logon kay baad is tilsim ka raaz bani israel kay pas aya jab woh misar may golami ki zindagi gozartay thay, bani israel yehni yahodio kay baad is tilsim ka raaz mosalman olmao ko mila jo rohaniat may ghor wa fikar kartay thay, arabic ki kafi qadeem books may Billi kay asrat kay mutalik kafi kuch bayan kia gaya hai jo kuch may yahan aap say share karta hon,
 Ibn Seerin apni kitab "Marata Al-Rawaiya" may likhta hai kay Billi agar chay aak palto gharilo kisam ka janwar hai jisay amomi tor par bay zar aur sharif al-nafs janwar karar dia jata hai magar haqeqat yeh hai kay Billi ko jis qadar bay zar khyal kia jata hai yeh os say barh kar kahin ziada noksan denay wala janwar hai, yeh aak is qadar manhos aur khatarnak janwar hai kay iski nahosat wa tabha kario ka andaza nahi lagaya jasakta, Ibn seerin farmatay hain kay is janwar ka khoab may dekha jana is qadar parayshan kan hai kay tehrir wa bayan say bahir hai, Billi ko khoab ki halat may dekhnay wala agar karoon kay khazano ka malik bhi hoga to kuch he dino may fakir wa mohtaj hokar reh jay ga, sehat mand hoga to la ilaj kisam ki bimario ka shikar hojay ga, motbar hoga to haqeer wa zalil hokar reh jay ga, ibn seerin farmatay hain kay billi jis bhi rang wa nasal ki ho iska ghar may rakhna iska palto janwar ki tarah palna intahai khatarnak aur tabha kan hai, billi ko har hal may ghar say nikal bahir karna chahehai lekin aysa kartay waqat os par tashdot karnay ya zakhmi wa marnay ki koshish nahi karni chahehai, khuda na khuwasta agar aysa hojata hai to phir yeh aak fash galti hogi jiska khamiza bhugatna hoga, aysa karnay wala billi ki bad dua aur onki jinnati kowato kay ghazab ka nishana ban jay ga aur istarah jald ya kuch arsay baad os shaks ko jismani, mali aur rohani tor par noksanat say dochar hojana paray ga jiska natija tabahi, barbadi aur zilat wa raswai ki sorat may he milay ga, ibn seerin kay mutabik billi is qadar manhos janwar hai kay agar yeh kisi mosafir ka raasta kat kar gozar jay to os mosafir ka safar acha honay kay baja ay tabahai, barbadi aur noksan ka sabab banay ga, woh is safar may jismani tor par bimar aur maali tor par zalil hokar reh jay ga, woh kamiabi kay baja ay na kam wa na murad hokar wapis paltay ga,
Billi may aysa kya hai jisay misri log bhi itnay khofsada rehtay thay, aur Arab kay olma e rohaniat bhi iski nahosat kay mutalik batatay hain, yeh kis kayfiat ki hamil hai? kya hai kya nahi hai? is makhlok ki haqeqat ko jannay aur parakhnay kay liay science to kuch nahi kar sakti magar talimat e rohania aur irshadat wa akwal e olma e tilsimat wa rohaniat kay chashmaded tajorbat ki roshni may billi ka pur israr janwar hona sabit hai,
Wasal ibn ata bagdadi apni kitab may tehrer farmatay hain kay billi jinat kay nasal ki he aak pur israr makhlok hai magar iski jismani shape jinat say bohat muktalif hai, Kitab "Ibn Hillaj" may ibn hillaj ka kol mojod hai kay billi jinat may say hai, Kitab "Arbali Al-Masaid" may likha hai kay billi ki haqeqat yeh hai kay yeh jinnat kabael may say aak khatarnak tarin makhlok hai, Abu Al-Hassan Aymali kitab "Awarof Al-Horof" may likhta hai kay billi ka jinat ki makhlok may say hona mokhfiat wa tilsimat say sabit hai, Kitab "Aeza Al-Taraik" may billi ki haqeqat kay mutalik likha hai kay billi jinati makhlok hai jis kay ajeeb israr par olma e mokhfiat ka eeman wa akeeda hai,

Kafi qadeem books hain jis may billi kay ajeeb jinnati asrat, ajaibat, tilsim wagayra kay mutalik likha hai, kadem misri log aur olma e mokhfiat wa rohaniat kay mutabik yeh sabit hochoka hai kay Billi kay asrat kitnay khatarnak sabit hosaktay hain, isliay agar aap kay ghar may palto billi mojod hai to please osay ghar say nikal day kuo kay billi ka raat ko rona bohat he manhos hai, isitarah ghar main agar koi khana khata hai to billi osay tak kay dekhti rehti hai yeh bhi bohat khatarnak hai billi ki nazar e bad insan ko la ilaj marz may mobtala kar sakti hai, billi ko aap chahai jitna bhi pyar do magar woh apni nahosat zaror ghar may dalay gi, oska taluk jinnat say hai aur jinnat ka ghar may honay say kya hota hai yeh aap sub achi tarah jantay ho mujay batanay ki zarorat nahi, is janwar ki chord bohat kam ki hai kuo kay is chord may woh peda hoti hai, yeh chord oska ghar hai yeh billi ko bohat aziz hoti hai kisi ko hasil nahi honay deti isliay bacha peda kartay he foran osay complete pora kha jati hai takay koi isay hasil kar kay faida na otha ay, is cat's chord kay raaz ko sadion say log apnay seeno may dafan kartay ay hain wesay agar dekha jay yeh mehaz aak gosht ka tokra hai magar is gosht kay tokray may aysa kya hai yeh osi ko malum hota hai jiskay pas yeh ho.


KYA AAP KO BHI CAT'S CHORD TILSIM KI ZAORAT HAI?
Agar aap kay sath bhi wahi parayshania hain jiskay mutalik menay opar bataya hai to aap apni parayshanio ki nijat kay liay yeh tilsim apnay pas rakhay inshAllah  har kisam ki maali parayshani, job ki parayshani ya aysi koi bhi financially problems jo solve na hoti hon is tilsim kay zariay asani say solve hojay gi, yeh tilsim internet par aur bhi kai sites par sell hota hai magar meray nazdeek woh fake nakali hain aur na he sell karnay walay asal honay ki koi gurante detay hain, magar meray pas 100% asal cat's chord aap ko milay gi jiskay asal honay ki gurante may deta hon agar aap ka dil mutamin na ho aap wapis dekar apnay pesay lay saktay hain, meray pas cat's chord kafi log order kartay rehtay hain aur jiski waja say aksar okat meray pas cat's chord available nahi hoti, agar aap kay order karnay par meray pas cat's chord available na hoi to aap kuch pesay dekar 1 ya 2 months kay baad cat's chord hasil kar saktay hain, cat's chord ki prices may yahan likh raha hon:
* Cat's Chord without ritual ki price: 10,000/ rupees hai.
* Cat's Chord with Ritualy charged ki hoi ki price: 15,000/ rupees hai.
*Black Cat's Chord without ritual ki Price: 20,000/ rupees hai.
*Black Cat's Chord with Ritualy charged ki price: 25,000/ rupees hai.

0 Your Comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Pageviews

free counters

Share it