"Ilm Al-Limiya" yeh nam shayad aap nay pehli bar parha ho aur aap kay zehan mein yeh sawal peda hota hoga kay ilm limiya kis ilm ko kaha jata hai? Ilm Al-Limiya woh ilm hai jis kay zariay hum Darakthon(tree) ya podon(plants,herbs) ki mokhfi rohaniat ko taskheer ya invoke kar kay onsay apni aur dosron ki problems solve kartay hain, yeh aak gupt ilm hai jiska raaz sadion say log poshida rakhtay ay hain, magar mein har rohaniat ka poshida raaz aap sub say share karta hon aur karta rahon ga mera maksad rohaniat ko is scientific dor mein aam karna hai takay woh log jo scientifiic soch rakhtay hain jo rohaniat ya rohani olom ko nahi mantay ya woh log jinko thag fraud logon nay rohaniat kay nam par fool banaya jis say on logon ka rohaniat say aitebar oth gaya hai istarah kay sabi logon ko sahi aur sachi rohaniat aur rohani olom kay mutalik raaz share karnay hain takay woh samaj sakain kay in olom mein kitna asar hai jisay humaray bozrog aur ancestors sadion say amal kartay ay hain onhe kay zariay humay yeh muqadas ilm naseeb hua hai, Pak aur Azeem hai woh Rab ki Zaat jisnay insan ko peda kia aur oskay liay tarah tarah ki nehmatay is dunia mein peda ki, in nehmaton mein aak nehmat "Darakht(Trees)" hain jis kay phal say na sirf hum khorak hasil kartay hain balkay muktalif bimario mein bhi inko dawai mein use kia jata hai, Allah pak nay Hikmat ka ilm dia apnay khas bandon ko warna jahil insan to isay ghas phos he samajta hai, jistarah Allah pak nay hikmat ka ilm apnay khas bandon ko ata farmaya isitarah aak mokhfi ilm bhi apnay khas bandon ko ata farmaya aur is mokhfi ilm ko ilm limiya kehtay hain, aak ilm zahiri kehlata hai yeh ilm hakim log jantay hain aur muktalif payr podon ko dawai mein use kartay hain isitarah batni ilm bhi hai jiskay zariay payr podon ki mokhfi rohaniat ko dawai kay tor par use kia jata raha hai sadion say aur is ilm ko poshida rakha jata raha hai, aaj mein net par yeh ilm aap sub say share karnay jaraha hon, meray is article kay 3 hisay hain, part:1 mein darakhton aur oski rohaniat kay mutalik mein share karon ga aur part: 2 mein apnay zati rituals aur amliat kay mutalik share karon ga, part: 3 mein jari botion aur oski rohaniat kay mutalik mein kafi kuch share karon ga,
Darakt yehni Tree jiska sath insan kay sath tab say hai jab insan Jannat mein tha, Darakt ka rishta insan kay sath bohat qadeem zamanay say raha hai, kafi kisay aur wakiat bhi paygambaron kay hain jo Darakt kay mutalik hain jesay Shajar e Adam(a.s) yehni woh khas jannat ka darakt jiska phal khanay say Allah pak nay Hazrat Adam(a.s) ko manah farmaya tha, isi tarah Shajar e Musa(a.s) ka woh khas darakt jiskay zariay say Allah pak nay hazrat Musa(a.s) say baat ki, isitarah Shajar e Muhmmad(s.a.w) ka woh khas darakt jo jannat mein hai jiskay mutalik kafi ahadees e pak hain, yeh sub wakiat aur rawayat aap nay shayad parhi hongi magar kabhi ghor nahi kia hoga magar mera yeh article parhnay kay baad aap ko kai chopay raaz malum paray gay, mein pehlay woh kuch wakiat aur rawayat paygambaron kay jo darakt kay mutalik hain share karon ga oskay baad ilm al-limiya kay mutalik aap say kafi kuch share karon ga.
*Shajar e Hazrat Adam(a.s):
Allah pak nay Hazrat Adam(a.s) aur Hazrat Bibi Hawa(a.s) ko peda kiya aur dono ko jannat mein rakha aur jannat mein 2 khas darakt peda kiay aak woh darakt jisay Shajar e Hayat ya "Tree of Life" kaha jata hai, Allah pak nay hazrat Adam(a.s) say farmaya kay is darakt say khob phal khao apni biwi ko bhi khilao magar nazdeek mat jana dosray darakt kay, woh dosra khas darakt akhir konsa darakt tha aur oska phal khanay say kuo mana hua aur woh darakt jannat mein kuon tha? istarah kay kai sawalat zehan mein atay hain aur yeh aak raaz hai aur humaysha raaz he rahai ga, kitab "Kasas Al-Anbia mein is khas darakt kay mutalik istarah likha hai:
*Shajar e Hazrat Nuh(a.s):
*Shajar e Hazrat Younis(a.s):
*Shajar e Hazrat Musa(a.s):
*Shajar e Hazrat Sulayman(a.s):
*Shajar e Hazrat Zakaria(a.s):
Hazrat Ibn Abas(r) farmatay hain kay Huzoor(s.a.w) jab sayr kay liay tashref lay ghay asman par hazrat zakaria(a.s) say molakat hoi, inhai salam kia aur kaha, ay abu yehya mujay apnay katal kay baray mein khabar dejiay woh kesay hua aur bani israel nay kis waja say aap ko katal kia? onhonay farmaya: ay Muhammad(s.a.w) mein aap ko hazrat yehya(a.s) kay mutalik khabar deta hon kay woh apnay zamanay kay behtarin aadmi thay jo khobsorat aur roshan chehray walay thay woh Allah pak kay is farman kay mutabik sardar hoga aur aurat kay pas na jay ga, aap(a.s) ko aurat ki khuwaish na thi, bani israel kay badshah ki biwi on par farifata hoi woh aak fahisha aurat thi os nay aap ko paygam bheja, Allah nay onki hifazat ki aur hazrat yehya(a.s) nay inkar kardia to os nay hazrat yehya(a.s) kay katal ka irada kar lia, onka eid ka jis mein tamam log jamah hotay thay aur badshah ki aadat yeh thi kay woh wada khilafi nahi karta tha aur jhoot bhi na bolta tha, jab badshah eid kay liay nikla oski biwi othi aur osnay alwida kaha, badshah ko os par tehjob hua osnay pehlay kabhi aysa nahi kia tha, badshah nay oskay alwida say khush hokar kaha mago muj say kya magti ho, tu jo bhi cheez magay gi tujay don ga, osnay kaha mujay yehya bin zakaria(a.s) ka khoon chahehai, badshah nay kaha oskay ilawa kuch aur mang lay osnay kaha yahi chahehai, badshah man gaya, osnay apnay banday bhejay to hazrat yehya(a.s) apnay hajray mein nimaz parh rahai thay aur mein bhi onki aak janib nimaz parh raha tha, onhonay hazrat yehya(a.s) ko aak thal mein zibah kia aur onka khoon aur sar os aurat kay samnay pesh kia, Huzoor(s.a.w) nay pocha aap nay kis darjay tak sabar say kam lia, onhonay farmaya kay meinay apni nimaz nahi tori,
Hazrat zakaria(a.s) kehtay hain kay jab aap ka sar aurat kay samnay pesh kia gaya to sham kay waqat Allah pak nay badshah, oskay ahal wa ayal aur nokron ko zameen mein dhansa dia, jab subha hui to bani israel nay kaha: zakaria ka rab oski waja say naraz hogaya, chinachay aao kuon kay hum apnay badshah ki waja say naraz huay to zakaria ko katal kartay hain, woh mujay katal karnay kay liay meri talash mein niklay meray pas aak aadmi aya osnay halat say agha kia mein wahan say bhag gaya aur shaitan onkay agay agay onki rehnomai kar raha tha, jab mujay khof hua kay mein on say ziada bhag nahi sakta to aak Darakt khola os nay muj say kaha idhar meri taraf aao meri taraf, chinachay mein oski taraf gaya aur os mein dakhil hogaya, shaitan aya os nay meri chadar ka aak kona pakar lia, darakt apas mein mil gaya aur meri chadar ka aak kona bahir reh gaya, jab bani israel ay to shaitan nay on say kaha, kya tum nay dekha nahi kay woh apnay jaadu kay zariay is darakt mein chala gaya, onhonay kaha kay hum is darakt ko jala detay hain to shaitan nay kaha kay nahi balkay isko aaray kay sath cheer do, to mujay aur darakt ko aaray kay sath cheer dia gaya, Nabi(s.a.w) nay on say pocha kya aap ko koi dard ya takleef mehsos hoi? onhonay farmaya nahi balkay os darakt ko takleef hoi jis mein Allah pak nay meri rooh dal di. (ibn asakar fe muktasir tarikh damshak 9-50)
aur aak rawayat istarah hai:
*Shajar e Hazrat Essa(a.s):
"The next day as they were leaving Bethany, Jesus was hungry. Seeing in the distance a fig tree in leaf, he went to find out if it had any fruit. When he reached it, he found nothing but leaves, because it was not the season for figs. Then he said to the tree, “May no one ever eat fruit from you again.” And his disciples heard him say it.
In the morning, as they went along, they saw the fig tree withered from the roots. Peter remembered and said to Jesus, “Rabbi, look! The fig tree you cursed has withered!” “Have faith in God,” Jesus answered. “Truly I tell you, if anyone says to this mountain, ‘Go, throw yourself into the sea,’ and does not doubt in their heart but believes that what they say will happen, it will be done for them. Therefore I tell you, whatever you ask for in prayer, believe that you have received it, and it will be yours. And when you stand praying, if you hold anything against anyone, forgive them, so that your Father in heaven may forgive you your sins.” (Mark 11:12-14 and 11:20-25)
"Early in the morning, as Jesus was on his way back to the city, he was hungry. Seeing a fig tree by the road, he went up to it but found nothing on it except leaves. Then he said to it, “May you never bear fruit again!” Immediately the tree withered. When the disciples saw this, they were amazed. “How did the fig tree wither so quickly?” they asked. Jesus replied, “Truly I tell you, if you have faith and do not doubt, not only can you do what was done to the fig tree, but also you can say to this mountain, ‘Go, throw yourself into the sea,’ and it will be done. If you believe, you will receive whatever you ask for in prayer.” (Matthew 21:18-22).
*Shajar e Hazrat Muhammad(s.a.w):
Beri kay darakt kay ilawa aur bhi kai ahadees aur rawayat hain darakton kay mutalik jesay khajor kay darakt ka Nabi pak(s.a.w) say juda honay par rona aur darakton ka aap(s.a.w) kay hokam par amal karna istarah ki kafi ahadees mojod hain.
The Blessed Tree(the only living sahabi)
Sacred Trees:
Haunted Trees:
Jistarah sacred trees hotay hain jo apnay achay asrat ki waja say mashor hotay hain isitarah dunia mein kuch aysay darakt bhi mojod hain jo apnay boray shaitani asrat ki waja say mashor hain, in darakton par jinat, asayb, churail wagayra ka basera hota hai jab koi insan aysay darakton kay nazdeek jata hai woh gaybi shaytani taqatay har kisam ki takleef os insan ko pohacha sakti hain mein yahan kuch mashor aysay darakhton kay mutalik aap say share karta hon,
Shajar e Wak Wak:
Shajar e wak wak aak asayb zada ya jinati darakt hota hai jo ziada tar jungle ya veeran jagaon mein hota hai, is darakt kay nazdeek jab koi jata hai to onko hoor ya pari ki tarah khobsurat larkia darakt par fruit ya phal ki tarah latki nazar aati hain jo apni taraf ishara karti ya bolati hain, jab koi insan onkay hosan kay sehar mein phas jata hai to woh ya to apna hosh kho kar pagal hojata hai ya khoff aur dar say mar jata hai, kafi purani arabic books mein in ajeeb darakt kay mutalik kafi kuch likha hota hai, arabic kitab "Hayat Al-Haywan" mein kamaludin al-damri likhtay hain kay "al-waq waq aak kisam ki makhlok hai jo kisi darakt aur kisi janwar say peda hui hai", is kitab mein likha hai kay waq waq al-salatah nam ki churail ki kisam mein say hai, yeh khabis shaitani churailon ka aak group hota hai jisay "al-ghol e bayabani" bhi kehtay hain, yeh churailay apna rop badal badal kar logon ko parayshan karti hain, wak wak darakt ko wak wak isliay kaha jata hai kay is darakt mein say awaz aati hai wak wak aur koi shaks is ajeeb awaz ko son kar os darakt kay pas pohanchta hai to osay darakt par bohat he khobsurat larkia phal ki tarah latki hoi nazar aati hain jo apas mein hasi mazak karti aur khelti rehti hain on mein itna hosan hota hai kay insan dekh kar apna hosh kho bethta hai aur onsay milnay ki chahat karta hai jab woh aysa karta hai to woh churail larkia osay pagal kar deti hain ya woh shaks coma mein chala jata hai ya mar dalti hain, yahan mein kuch images shajar e waq waq ki share kar raha hon jo muktalif qadeem arabic books ki hain, humaray muslim olma e rohaniat nay is ajeeb darakt kay mutalik kafi kuch likha hai,
" One of the greatest mysteries in Thailand surrounds the existence of Tree Women known as Naree Pon or Makalipon. Naree Pon are like fruit Faeries, females with perfect form and great beauty.
Legend has it that the God Indra ( Phra Indra or Phra-In in Thailand) created a magical forest as a safe abode for Prince Vessantara and his family to live. This forest he called the Himapan Forest. Prince Vessandara was the Lord Buddha in one of his previous lives. In the Himapan Forest, Indra planted 16 magical Nareepon trees. Lord Indra had two reasons for planting trees with fruits like gorgeous women. The first reason was to catch out the misbehaving Deities who had not been able to overcome their sexual lust. They would be tempted to make love to these tree Fairies and then would immediately fall into a coma. When they awoke they would find their magical powers had disappeared. The second reason was to protect the wife of Prince Vessandara from being pestered After the Nareepon flowers blossomed, bunches of Naree Pon would be formed. In 4 days they would drop from the tree and could talk, dance and sing. In just 7 days they would die and start to shrivel until eventually becoming about the size of a person’s hand. Legend states that Nareepon trees will exist until the World no longer has a single person following the teachings of the Lord Buddha.
Some Forest Monks have claimed the existence of Nareepon trees in some other parts of the World.Perhaps the 2 most famous Naree Pon are the ones kept by Luang Pho Jarun at Wat Ampawan In Singburi. These Nareepon tree women have undergone extensive tests showing that they contain the heart, lungs and other internal organs but no bones".
Thailand ki history kay mutabik nareepol darakt par larkia phal ki tarah ogti hain phir 7 dino baad woh sokh kar mar jati hai aur sokh kar doll ki tarah ban jati hai aur thailand kay log in dolls ko muqadas mantay hain apnay gharon mein rakhtay hain takay ghar mein khushali ho aur kuch log isay amliat mein bhi use kartay hain, in dolls ki images yeh hain:
Qadeem arabic kitab "Ajaib Al-Makhlokat" mein is kisam kay wak wak darakt kay mutalik istarah likha hai:
"aak
jazira waq waq ka hai yeh jazira rayah say mila hua hai, is jaziray ki
hokmaran aak aurat hai, mubarak sayrafi nay likha hai kay meinay is
jaziray ki hakma aurat ko dekha jo bina kapron kay takht par bethi thi
sar par taj e zard rakhay thay aur oski khidmat gar 4000 auratay mahir,
konwari aur bina libas kay hazir thi, is jaziray mein aak kisam ka
darakt hai jis kay phal say awaz wak wak ki peda hoti hai aur yeh phal
larkion kay sar ki tarah hain".
Japan
mein bhi japanese logon ko bhi istarah kay darakt ka ilm hai woh is
darakt ko "Jinmenju Tree" kehtay hain, aak japanese site say mujay iski
history mili jo yahan share kar raha hon:
Kafi kisay kahanio mein bhi wak wak kay darakton kay mutalik likha hota hai jesay hatim tai ki kahani mein bhi mojod hai, hatim tai ki kahani par aak indian film bhi bani hai os film mein bhi wak wak darakt ko bohat khobsorti say dikhaya gaya hai:
Ilm Al-Limiya ka pehla part khatam hua, inshAllah kuch arsay baad iska dosra part post karon ga, apnay bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga.