Search This Blog

KHAWATEEN K JINSI MUGHALTAY (FEMALE SEXUAL MISCONCEPTION) SEX EDUCATION IN URDU

Mardon ki tarah aurtein bhi bohut sey jinsi maghaliton (sexual misconceptions) ka shikar hain jo inki azdwajii khushyion mein bohut bari rukawat sabit hote hain. Azdwajii khushyion kay liye khawateen ko na sirf apney bul kay mardon kay jinsi mughaliton ka zikar lya jaey (in mughaliton ka tafseeli zikar humari doosri kitab "Sex Education…Sab Kay Liye" mein mojood hai iss hawaley sey iss kitab ka muta'alla mufeed rahey ga).

KHAWATEEN K KUCH EHEM JINSI MUGHALTAY

1. MAHWAARI (MENSES):Ye haez (menses) amooman takleef deh cheez nahin aksar khawateen ki maahwaari bilkul normal hoti hai aur unhein koi khaas takleef nahin hoti albatta kuch khawateen maahwaari kay dauraan kamar dard, sar dard aur paet dard waghaera mehsoos karti hain, maahwaari ka aana kisi bhi larki kay liye kisi bhi tarah tashweesh ka baa'iss nahin hona chahiyie, larki ko ba'khoobi samajh lena chahiyie kay yeh ek fitri jismaani amal hai.

NOTE: Mahwaari bund honay per aurat ki jinsi khwahish khatam nahin ho jati bul kay aurat aakhri saans tak sex sey lutf andoz ho sakti hai.

2. MUBASHRAT (INTERCOURSE):

Koi buri cheez nahin aur na hi yeh ek takleef deh amar hai agarcha ba'az khawateen ko ibtida mein chund baar mubashrat mein qadrey takleef hoti hai taa'hum baad mein yeh amal normal ho jata hai mubashrat ka amal na sirf naeki aur sadqa hai bul kay donon kay liye bohut hi pur lutf amal hai. NOTE: Mubashrat mein aurat ka har baar Orgasm (intiha e lazzat) hasil karma zaroori nahin bohut si aurtein har baar orgasm hasil nahin kartiin magar unki azdwajii zindagi bohut khushgawar hoti hai. Jinsi lutf aur bachay ki paedaesh kay liye mubashrat mein donon mian biwi ka ba'yak waqt orgasm hasil karna zaroori nahin. 

3. KASRAT-E-MUBASHRAT (FREQUENT INTERCOURSE):

Kasrat-e-mubashrat  aurat ki sehat kay liye nuqsan deh nahin chahey yeh kitni hi baar kyun na ki jaey, orgasm aurat ki sehat kay liye mufeed hai.

4. LEUCORRHEA:

koi beemari nahin aur na hi iss ka ilaaj karane ki zaroorat hai albatta agar pani ka ikhraaj bohut zyada hoga, gaarha ya badboodaar ho to yeh amooman faraj (vagina) ki infection ki wajah sey hota hai.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Pageviews

free counters

Share it