Search This Blog

PAINLESS DELIVERY (DARD K BAGHAIR DELIVERY)

Shaadi kay ba'ad aurat ki sab sey bari khwahish yeh hoti hai kay woh jald maa'n baney ek taraf usey bachey ki shadeed khwahish hoti hai doosri taraf paeda'esh kay amal ka shadeed khauf. Agarcha amooman labor ka dard bohut takleef deh nahin hota magar iss dard ka khauf la'shaoori tor per nasal dar nasal muntaqil hota aa raha hai iss khauf ki wajah sey kuch khawateen haamla nahin hotiin aur bohut si haamla 9 mahiney isi khauf ka shikaar rehti hain jis ki wajah sey woh depression aur tashweesh mein mubtala ho jati hain. Inn mein sey bohut si khawateen ka blood pressure buland ho jata hai jis ki wajah sey hamal aur zichgi mein paecheedgiyan paeda ho jati hain hamal kay doran mein maa'n ki zehni kaifiyat bachey kay zehen aur nafsiyat ko bohut muta'assir karti hai. Isi liye kaha jata hai kay hamal kay doran main maa'n ko har fikr sey azaad ho kar hashaash bashaash aur khush o khurram rehna chahiyie lekin woh bohut si maa'ein jo hamal kay doran mein khauf ka shikar rehti hain unki yeh zehni kaifiyat unn kay bachon ki shakhsiyat ki normal nashaunuma mein bohut bari rukawat hoti hai jis ki wajah sey yeh bachey barey ho kar bohut sey nafsiyati masail ka shikar ho jatey hain. Taqreeban 50% aurtein hamal kay foran ba'ad matli mehsoos karti hain, ba'az ko ultiyan aaney lagti hain nateejatan unko hospital mein daakhil hona parta hai teen mein sey do khawateen ko seeney mein jalan mehsoos hoti hai ba'az khawateen ko qabz ki shikayat ho jati hai hamal kay doran bey khwabi ka masla bhi aam hai bohut si khawateen jismaani thakawat aur tension mehsoos karti hain inn tamam masail kay hal kay liye adviyat Khusoosan sukoon aawar adviyat istemaal ki jati hain jin kay burey asraat bachon tak pohonchtey hain.

Labor Pains - Labor Ka Dard

Labor pains (labor ka dard) to taqreeban har aurat mehsoos karti hai koi kam aur koi zyada yeh dard har aurat ko bardaasht karna hi parta hai iss dard ko control karney kay liye amooman adviyat kay istaemaal sey guraez kya jata hai kyun kay iss surat mein adviyat ka istaemal nuqsandeh ho sakta hai. Isi tarah paeda'esh kay aakhri marhaley main maa'n ko bohut takleef hoti hai iss aakhri dard ko control karney kay liye amooman bey hiss karney wali adviyat istaemaal ki jati hain jo ba'az auqaat bohut nuqsan deh sabit hoti hain aaj kal iss dard ko control karney kay liye kamar mein teeka lagaya jata hai jis ka apna dard hai.

Hypnotherapy Kay Fawa'ed

Hypnotherapy ki madad sey 95% sey zyada khawateen apni tension, khauf aur khadshaat ko control kar sakti hain iss ki madad sey khawateen apney aap ko pursukoon aur relax karsakti hain jiski wajah sey blood pressure, depression, tashweesh kay masail amooman paeda hi nahin hotey taa'hum agar yeh masail paeda bhi ho jaein to hypnotherapy ki madad sey in ko aasani sey control kya ja sakta hai. Matli, ultiya'n, seeney ki jalan haamla khawateen kay ahem masail hain 75% khawateen hypnotherapy ki madad sey inko aasaani sey control karsakti hain qabz aur bey khwabi kay masail ko bhi aasani sey hal kya ja sakta hai iss tarah khawateen aur unn kay bachey adviyat kay burey asraat sey mehfooz rehtey hain. Zichgi ka ahem marhala labor pain ka hai jo ghanton jari rehta hai hypnotherapy ki madad sey labor pain kay waqt mein 4 ghanty tak kami ki ja sakti hai iss marhaley main haamla 'shakhsi hypnotism' ki madad sey apney dard ko bohut kam kar leti hai.  (mukammal khatam karna munasib nahin hota agarcha dard ko mukammal khatam kya ja sakta hai) woh dard ki bajaey ma'amooli daba'u mehsoos karti hai phir aakhri marhaley mein mareeza khud hi apney jism kay paeda'esh sey muta'alliq hisson ko baghaer kisi dawa kay sunn karleti hai jis ki wajah sey bacha baghaer kisi dard kay paeda'esh ki naali sey baher aa jata hai. Bachey ki paeda'esh kay ba'ad hypnotism ki wajah sey mareeza gehri aur pursukoon neend mein chali jati hai aur baedaar honay per bohut khush o khurram, pursukoon aur relax mehsoos karti hai woh kisi qism ki thakawat mehsoos nahin karti kyun kay iss surat mein koi teeka ya dawa istaemaal nahin hoti le'haza mareeza aur bacha dawa kay har qism kay muzir asraat sey mehfooz hotey hain. Iss tariqey sey tamam khawateen mukammal tor per mustafeed nahin hotiin ta'hum 70% khawateen dard ko mukammal tor per control karleti hain jab kay 90% tension, khauf, seeney ki jalan aur neend kay masail ko control kar leti hain.   Hypnotherapy ka ek aur ahem faeda yeh bhi hai kay iss ki madad sey mareeza hamal ka sara arsa bohut pursukoon aur relax rehti hai jis ki wajah sey uss ki chaati mein doodh bhi khoob jama hota hai chuna'cha bachey ko khoob paet bhar kar doodh milta hai yeh baat sabit ho chuki hai kay khauf aur tension ki wajah sey na sirf maa'n ki chati mein doodh kam paeda hota hai bul kay abortion ka khatra bhi barh jata hai. Hypnotherapy ki wajah sey chu'nkay haamla majmooee tor per bohut pursukoon hoti hai jis ki wajah sey na sirf abortion ka khatra kam ho jata hai bul kay operation kay imkanaat bhi bohut kam ho jatey hain. Aur agar operation ho bhi to hypnotism ki wajah sey zakham taezi sey mundamil ho jatey hain hum Pakistan mein iss tariqey ko kamyaabi kay sath istaemaal kar rahey hain behter yehi hai kay hamal kay ibteda'ee dinon sey hi   Iss tareeqey sey faeda uthaya jaey taa'hum iss tareeqey sey kisi bhi waqt faeda uthaya ja sakta hai. Bachey ki paedaesh kay ba'ad taqreeban 50 ta 80% khawateen depression ka shikar ho jati hain jiss mein woh shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karti hain unki neend kam ho jati hain bhook nahin lagti aur amooman jinsi khwahish kam ho jati hai ba'az auqaat yeh depression kaee maah tak jari rehta hai, iss silsiley mein kisi achey doctor sey raabta kya jaey.

0 Your Comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Pageviews

free counters

Share it