Bohat say log yahi samajtay hain kay istarah kay saanp kay kisay aur wakiat sirf indian mythology ka hisa hain magar woh log galat samajtay hain kuo kay indian mythology kay sath dunia mein har mazhab aur culture mein istarah kay saanpo ka haqeqat mein honay par yakin hai, aap ko yeah parh kar shayad hayrat ho kay humaray mazhab islam mein bhi istarah kay saanpo kay honay par yakin hai, kafi Ahadees e pak, rawayat, wakiat, kisay istarah kay saanpo par hain, muslim olma e rohaniat wa mokhfiat subi ka istarah kay saanpo ka haqeqat mein honay par yakin hai, islam mein istarah kay saanpo ko "JINAT" kaha jaata hai jo har roop badal sakta hai, ichadhari naag, shesh naag yeh subi jinat saanp hotay hain, kuch in mein mosalman hotay hain, nayk kam kartay hain, logon ko takleef nahi detay inko dervaish saanp ya fakir saanp bhi kehtay hain aur istarah kay saanpo ko gao(village) kay log pehchan jatay hain aur inko martay nahi yeh saanp bohat ziada zehrilay hotay hain agar kisi ko das lay to insan osi waqat mar jata hai magar yeh saanp gao mein gharo mein azadi say atay jatay rehtay hain na woh kisi ko dastay hain na gao walay onko taklef detay hain khud in saanpo ko milk pilatay hain, aur kuch istarah kay saanp shaitan bhi hotay hain jo logon ko har tarah ka noksan detay hain das kar ya boray shaitani asrat say, kala jaadu ya black magick karnay walay inhe saanpo ko taskheer karkay bohat say kam letay hain,
Saanp jinat kay mutalik kafi Ahadees hain jo kuch mein yahan share kar raha hon jiskay parh lenay kay baad aap ko bhi yakin ajay ga kay saanp jinat ya ichadhari naag hotay hain,
Humaray Nabi pak(s.a.w) kay dor mein jinat pehlay mosalman nahi hoay thay aur kahin jo jhar phonk kartay thay in jinat saanp ko jaadu kay zariay taskheer kar kay apnay kam mein latay thay aur mosalmano ko har tarah ki takleef detay thay, jab koi saanp ko marta to saanp os say intakam letay thay jiskay mutalik hadees hai:
Aaj bhi gao(village) mein jo log cobra ya kalay saanp ko mar detay hain woh aksar pagal ya mar jatay hain aysay wakiat humaray apnay gao mein bhi hoay hain, opar hadees mein likha hai "hum nay onsay salah nahi ki jab say larai shoro hoi hai" yehni saanp jinat say salah nahi hoi thi pehlay magar phir onsay salah hogai aur saanp jinat mosalman hogay jiskay mutalik ahadees hain:
Agar istarah ka saanp ghar mein hota hai to osay pehlay mara nahi jata pehlay yeh amal kia jata hai jo hadees mein likha hai kay:
Gao(village) kay aksar gharon mein aysay saanp hotay hain, gao kay log har saanp ko dekhtay he mar daltay hain magar cobra saanp ko nahi martay halakay cobra saanp bohat zehrilla hota hai kisi ko das lay woh osi waqat mar jata hai, magar cobra saanp jinat hotay hain aur woh kisi ko takleef nahi detay jab tak osay koi takleef na day yeh baat gao kay log achi tarah jantay hain, yeh saanp gharon mein atay jatay rehtay hain aur gao kay log onko milk pilatay hain, gao kay log in saapon ko dervaish, fakir bhi kehtay hain onkay mutabik, aulia, pir, fakir bhi in saapon kay rop mein hotay hain,
Saanp jinat say salah honay kay baad kafi saanp jinat mosalman hogay aur onhonay Nabi Pak(s.a.w) ko kaha kay aap(s.a.w) apni omat ko keh dain kay woh humay takleef na day aur hum onko takleef na day gay, kafi ahadees hain jis mein Nabi pak(s.a.w) nay farmaya hai kay saanp jinat ko takleef na dain :
Saanp Jinat jo mosalman hogay thay woh humaray Nabi pak(s.a.w) kay pas apnay masail kay hal kay liay atay rehtay thay jiskay mutalik ahadees hain:
Kuch muslim jinat saanp kay wakiat yeh hain:
Hazrat Ibn Akeel farmatay hain, humara aak ghar tha jab bhi log is ghar par rehnay aatay thay subha ko morda pay jatay thay, aak martaba aak aadmi aya osnay is ghar ko keraya par lia aur isko pasand kia aur raat gozari aur subha woh sahi aur zinda tha, yeh dekh kar parosi heran hoay, woh shaks kafi arsay is makan mein raha phir kahin chala gaya, os say oskay zinda bach janay ki waja malum ki to osnay bataya jab mein raat ko isha ki nimaz parhi aur Quran pak ki kuch tilawat ki to achanak meinay aak jawan mard ko dekha jo konway say opar ko nikal raha tha, osnay mujay salam kia to mein os say dar gaya, osnay kaha khoof na karo mujay bhi kuch Quran pak sikhlao to meinay osko sikhlana shoro kia, phir meinay os say pocha is ghar ka kya kisa hai? osnay kaha hum mosalman jinat hain tilawat bhi kartay hain nimaz bhi parhtay hain magar is ghar mein aksar badkar log rehnay aatay thay jo sharab peetay aur galat kam kartay thay isliay hum onka gala ghont kar mar detay thay, meinay os say kaha kay mein raat ko tum say darta hon tum din ko aya karo, osnay kaha bohat acha phir woh din kay waqat konway mein say nikal kar aata tha, aak dafa woh Quran pak parh raha tha kay aak sapayra darwazay par aya aur sada lagai kay mein saanp, bad nazari aur jin ka dam karta hon, to os jin nay kaha yeh kya chez hai, meinay kaha yeh jhar phonk karnay wala hai, osnay kaha osay bolao, to mein oth khara hoa aur osay bola lay aya to meinay dekha kay woh jin chahat par bohat bara saanp ban gaya hai, to os sapayray nay jhar phonk ki to saanp lotpot honay laga aur ghar kay darmian gir para to sapayra otha aur osko pakar kar apni gadri mein dalnay laga to meinay osay mana kia, sapayray nay kaha kya tu mujay meray shikar say mana karta hai? phir meinay osay aak sonay ki asharfi di aur woh chala gaya to os saanp nay harkat ki aur jin ki shikal mein zahir hogaya laykin woh kamzor hokar peela par choka tha aur patla hogaya tha, meinay os say pocha tumhai yeh kya hua? osnay kaha kay sapayray nay mujay on isma e mubarka say katal kardia, mujay yakin nahi tha kay mein os say chotkara hasil kar pao ga, aab jab tum konway say cheekh ki awaz suno to yahan say chalay jana, chinachay meinay raat kay waqat awaz suni kay aab tum yahan say dor chalay jao, Ibn akeel farmatay hain oskay baad say os ghar mein log rehaish karnay say rok ghay.
(Kitab Al-fanon ibn akeel, Laqat Al-Marjan, 105)
~*~ SAANP KE AMLIAT ~*~
Saanp
kai amliat mein use hota hai achay noori amliat ya boray amliat black
magic mein bhi, sadio say achai aur borai ki jang hoti ai hai, jinat
saanp ko amliat, ritual ya taweezat say taskheer kar kay on say kam
lenay kay tarikay sadion say log kartay arahai hain, arabic ki kafi
qadeem books mein aysay amliat likhay hotay hain, meray pas kafi bara
zakhira qadeem arabic books ka mojod hai jis mein saanp jinat ko invoke
kar kay onko apnay maksad kay liay use karnay kay tarikay likhay hain,
saanp ko amliat mein kis tarah use kia jata hai oskay mutalik kuch mein
yahan share kar raha hon,
Zamana e jahalat mein yahodi kahin saanp ki kaynchali say mosalmano par jaadu kia kartay thay aur saanp ki kaynchali wala jaadu bohat asar rakhta hai, arabic ki qadeem books mein saanp ki kaynchali kay amal ko batil karnay kay kai tarikay likhay hotay hain in qadeem books mein aak book Imam Ghazali ki "AL-OFAK" hai jiska urdu tarjoma ki hoi book bhi market mein milti hai jiski image yeh hai:
Jogi ya sapayray log saanp ki kaynchali kay amliat kay mahir hotay hain aur kuch samajdar log sapayron say saanp ki kaychali lekar apnay ghar mein rakhtay hain ya phir isko jala kar iski dhooni ghar ya shop ko detay hain takay on kay ghar mein koi jaadu asar na kar sakay, agar achay nayk jinati saanp ki kaynchali ghar mein hogi ya dhooni di jay gi to kisi bhi kisam ka jaadu ghar par asar nahi karay ga, aaj kal sapayray log thag aur fraud hogay hain aur onkay pas ilm bhi nahi hota woh saanp ki kaychnali woh detay hain jo tokray tokray ban kar saanp mein say otarti hai yeh ya to bimari ki waja say saanp otarta hai ya koi dosri waja say, yeh kisi kam ki nahi hoti iskay ilawa sapayray log aam saanp ki kaychali day detay hain jo cobra ya jinati asrat kay saanp ki nahi hoti is kaynchali mein bhi koi asrat nahi hotay, agar aap ko jinati asrat walay saanp ki kaynchali ki zarorat ho aap muj say rabta kar kay lay saktay hain, agar kaynchali sahi hogi to ghar mein kisi bhi kisam kay jaadu kay asrat nahi lagay gay khud jo jaadu karay ga osi par olta asar paray ga iskay ilawa ghar mein barkat aur khushali bhi hoti hai aur har kisam ki nahosat say nijat mil jati hai,
Yeh to hoi baat saanp ki kaynchali kay amal ki, isitarah jinati asrat kay hamil saanp ko invoke kar kay bhi onkay zariay kafi kam liay jasaktay hain, jinat saanp jis jaga rehtay hain os jaga jakar khas amal kar kay onko taskheer karna hota hai in amal mein khas wazaif parhay jatay hain yeh wazaif abrani aur siryani language kay hotay hain in wazaif mein seen aur sheen kay words ziada hotay hain aur in wazaif ko vibrational andaz mein parha jata hai agar koi dosra shaks aap ko wazaif parhtay sunay ga osay aysa feel hoga jesay aap saanp ki language mein he koi baat kar rahai ho, in khas wazaif say jinat saanp apnay bil mein say nikal atay hain aur in wazaif kay asar say woh dastay bhi nahi, jinat saanp kay bil ya ghar ko talash karna asan kam nahi kuo kay saanp jinat bohat jalali hotay hain isliay bohat ahtiat aur khyal say onko talash kar kay invoke kia jata hai mein aksar aysi jagaon par jata rehta hon jahan yeh saanp hotay hain aur in saanp jinat ki talash mein rehta hon:
saanp mein jo jinat hotay hain onkay kai amliat aur invocation hotay hain jo kai arabic qadeem books mein likhay hotay hain in books ki kuch images yeh hain:
meray pas aak qadeem arabic book ka urdu tarjoma mojod hai os mein aak taweez ka amal mein yahan share kar raha hon:
Mein aksar saanp mein mojod jinat kay invocation kay amal ya amliat wagayra karta rehta hon aur kam hojanay kay baad onko osi jaga chor aata hon jahan say pakra hota hai, meinay kai apnay kam mein in jinati saanpo ko use kia hai aur aab bhi karta rehta hon,
~*~ ALCHEMY (ilm Al-Seemia fe Al-Keemia) ~*~
Alchemy
ka ilm Ancient Egyptian kay olma e rohaniyat jantay thay on kay baad is
ilm ko Arab kay olmao nay bohat taraqi di, alchemy 3 kisam ki hoti hai,
1 kisam woh jis mein medicines ya dawai wagayra ya koshtay wagayra bana
ay jatay hain jo hakim banatay hain, 2 kisam ki alchemy woh hai jis
mein metals ko gold banaya jata hai, 3 kisam ki alchemy woh hoti hai jis
mein amliat kiay jatay hain ya tilsim wagayra banatay hain aur mera
topic isi amliati alchemy par hai jis mein saanp ko kistarah alchemy
mein use kia jata hai oskay mutalik mein kuch yahan share kar raha hon,
amliati alchemy ko arabic mein "Aymal e Harmis" kay nam say pukara jata
hai, ilm al-seemia fe al-keemia ka matlab hai ilm alchemy kay zariay
amliat karna, ilm alchemy kay zariay kafi amliat ki cheezay banai jati
hain aur saanp ko alchemy mein use hazaron saal pehlay ancient egypt
mein kia jata tha aur aaj bhi use hota hai jiskay mutalik kuch batain
mein yahan share kar raha hon,
Ilm
Alchemy mein aksar saanp ka oil, elixir wagayra banaya jaata hai jo kai
bimario mein shifa deta hai, hum sub jantay hain kay hakim log jo
hikmat ka ilm jantay hain woh istarah ki chezay banatay hain magar aak
alchemy ka ilm poshida hota hai jo seena ba seena is raaz ko khas logon
ko bataya jata hai aur kisi aam shaks say share nahi kia jata yeh
amliati alchemy ka ilm hota hai, aaj kal is poshida ilm kay raaz say
bohat kam log wakif hain jo wakif thay woh yeh raaz apnay sath kabaron
mein lay ghay aur kuch symbolic andaz mein is raaz ko qadeem books mein
likha in symbols ko har koi nahi samaj sakta sirf wahi samaj sakta hai
jo rohani oloom janta ho, in secrets symbols mein astrological symbols
aur aysay ajeeb symbols hotay hain jisay parhna ya samajna har kis kay
bas ki baat nahi yeh symbols kistarah hotay hain aap in images mein dekh
saktay hain:
Opar
image mein astrological symbols kay sath alchemy kay ajeeb symbols
hain, alchemy aur astrology ka apas mein bohat gehra taluk hai aur
amliati alchemy mein sitaro kay sharf, habot, girhan wagayra jesay khas
okat mein khas cheezay tilsim, oil, elixir wagayra bana ay jatay hain khas waqat mein alchemy mein banai cheezon mein bohat asrat hotay hain,
ALCHEMY SNAKE OIL:
Alchemy mein saanp ka 2 kisam ka oil banaya jata hai aak woh jo hikmat mein use hota hai jo market mein bhi mil jata hai pansari ki shop ya kisi bari oil shop par yeh oil kafi bimario mein shifa deta hai,
Magar
jo Amliati alchemy mein saanp ka oil banaya jata hai woh alag tarah ka
khas oil hota hai jo jaadu kay asrat ko khatam karta hai aur kai amliat
mein bhi osay use kia jata hai, yeh oil khas waqat aur saayt mein banaya
jaata hai,
Arab
kay olma e mokhfiat wa tilsimat alchemy kay zariay kafi khas chezay
banatay thay, aak qadeem arabic kitab mein hakem Taos ibn e Tarmah
Humdani likhtay hain kay Marbot wa Makod aak rohani marz hai, marbot wa
makod say murad olma e mokhfiat wa tilsimat kay nazdeek sex mein bandish
kay sabab mardana kamzori ka mariz ban jana hai, iski 3 kismay hoti
hain aak to sehar wa jaadu ka shikar hojanay ki waja say, dosri kisam
jinat kay bad asrat ki waja say aur tesri kisam paydaishi ya qudrati
jismani tor par jinsi kowat ka batil hojana hai,
Sehar
wa jaadu kay sabab marbot wa makod honay ki nishani yeh bayan ki jati
hai kay aadmi achanak he jismani tor par har tarah say sehat mand honay
kay bawajod apnay aap ko jinsi tor par mafloj mehsos karnay lagta hai,
woh aam halat mein apnay aap ko har tarah say sex par qadir khyal karta
hai lekin sex kay waqat achanak oski feelings khatam hokar oskay jazbat
sard par jatay hain jiski waja say oski wife osay na mard samaj kar
nafrat karnay lagti hai aur dosray kisi mard say muhabat karnay lag jati
hai jis say judai ya divorce hojati hai aur os shaks ki zindagi tabha
wa barbad hojati hai woh kisi bhi aurat kay kabil nahi rehta aur jab
sehar wa jaadu kay asrat last stage par pohanch jatay hain to woh shaks
ya to suiside kar kay apni zindagi khatam kar deta hai ya phir osko jism
kay khas hisay par aysi la ilaj bimari lag jati hai jis say oski mot
hojati hai,
Jinati
ya shaitani asrat ki waja say marbot wa makod honay ki ilamat yeh hai
kay aysa shaks behoda movies ya photos dekhnay lag jata hai aur mosht
zani karta hai aur rastay mein chaltay hoay kisi ki ma, behan ya beti
par bori nazar dalta hai, behoda harkatay karna, awazay nikalna, zor zor
say hasna, behoda kapray pehanna, aysi t-shirts pehanna jis par
skeleton, bhoot ya shaitan bana ho, aysa shaks din ba din shaitan banta
chala jata hai, nimaz ya ibadat to dor ki baat aysay shaks ko to khuda
ki zaat par bhi yakin nahi rehta, woh shaks pura haywani shaitan ban
jata hai aur is asrat kay last stage mein woh nasha karnay lag jata hai
aur jaraim kay payshay mein akar police kay hathon mar jata hai ya phir
nashay say,
Jinati
aur shaitani asrat achanak attack kartay hain jab koi shaks akayla hota
hai jesay computer par betha net par koi kam kar raha hota hai achanak
woh behoda sites dekhnay lag jata hai ya akaylay mein ajeeb behoda
paglon jesi harkat karnay lag jata hai aur jab hosh mein ata hai to
apnay aap ko kosnay lag jata hai kay yeh mujay kya hogaya tha achanak,
yeh jinati asrat aysay virus ki tarah lagtay aur pheltay chalay jatay
hain kay insan ko oski aadat see hojati hai, woh aak tarah say majbor sa
hojata hai aysay behoda kam ya harkat karnay mein aur apnay aap ko na
pak samaj kar nimaz aur ibadat karna bhi chor deta hai, aysay boray
asrat say bachnay kay liay koi taweez ya mazar ka dhaaga wagayra har
waqat pehna ho takay in boray asrat say protection milay aur hisar mein
ho,
Agar
koi shaks marbot wa makod kay marz ka shikar hochoka hai to osay black
cobra snake kay khas oil say jo khas waqat aur amal say banaya jata hai
is oil say tamam jism par istarah massage karay kay baal barabar bhi koi
jaga na bachay 14 days tak is amal ko karta rahai to khuda ki hikmat e
kamila say sehar wa jaadu kay tamam tar asrat batil hokar os mariz ki
kowat dobara behal hojay gi,
mardon
ki tarah aurtay bhi marbot wa makod ka shikar hojati hain jis say onkay
husband onko chor kar dosri aurat kay chakar mein phans jatay hain,
kafi larkia jin par marbot wa makod kay asrat hotay hain onki shaadi
kahin nahi hoti aur koshishon say jab shaadi ho bhi jaati hai to shaadi
kay baad bhi onko husband ka pyar naseeb nahi hota, yeh bandish hoti hai
jo sehar wa jaadu ya jinati asrat ki waja say hoti hai.
Amliati
Alchemy mein yeh khas saanp ka oil khas waqat mein banaya jata hai
andhayri raaton mein jab chand asman par na ho is waqat ko arabic mein
"Tehat Al-Sha" kehtay hain, mein aksar aysay oil banata rehta hon aur is
oil say na sirf marbot wa makod kay marizon ko shifa milti hai sath
mein yeh aur bhi kai meray amliat mein use hota rehta hai,
Ilm
Alchemy mein oil kasheed karnay kay bohat say apparatus hotay hain in
apparatus ko "Patal Jantar" kay nam say pukara jata hai yeh apparatus
kuch istarah hotay hain jin ki images yeh hain:
Mein apnay khas patal jantar apparatus say oil kasheed karta hon jinki images yeh hain:
Opar
image mein flask par aak khas matti lagai hai is amal ko Alchemy mein
"Gol e Hikmat" kehtay hain is amal say flask heat say phatnay ya totnay
say mehfoz rehta hai,
Mein apnay is apparatus ki madad say snake oil banata rehta hon aur kafi marizo ko is oil say shifa mili hai,
Saanp
ka ark bhi kafi amliat mein use hota hai khas kar perfumes wagayra
mein, yeh khas perfumes kisi ko taskheer karnay jesay kamo mein use
hoti hai,
Mein aksar alchemy kay zariay hikmat aur amliat ki aysi khas cheezay banata rehta hon jis say kai logon ki physical aur rohani problems ko solve kia hai aur aap sub ki duaon say inshAllah har mosibat aur parayshanio mein phansay logon ki madad karta rahon ga, agar khuda na khuwasta aap kay sath bhi physical ya spiritual problems hon to apnay is bhai ko zaror yaad kejiay ga, mein Allah pak kay hokam say aur is poshida ilm say aap ki inshAllah zaror problems solve kardo ga.
Allah pak aap sub ko sada khush wa abad rakhay(ameen)