Search This Blog

Jinat Saanp, ichadhari Naag Aur Saanp Ke Amliat

Ichadhari naag, shesh naag, naag mani aur istarah ki kai stories aur batain bachpan say hum sontay aur parhtay ay hain, aur kafi indian movies bhi bani hain in par aur hum sub yahi samajtay ay hain kay yeh sub indian mythology ka hisa hai aur hum mein kafi log isay sirf fairy tales ki kahania he samajtay hain aur haqeqat mein aysay saanp ka hona mumkin nahi jo har roop badal sakta ho ya oski mani(stone) agar kisi ko mil jay woh kuch bhi kar sakta hai, hum mein kafi log is tarah kay saanp ka haqeqat mein honay par bilkol bhi yakin nahi kartay, kuch arsa pehlay meray chotay cousin nay indian movie dekhi jo saanp par thi, meray cousin nay muj say pocha kay Ali bhai kya aap istarah kay saanp honay par yakin rakhtay hain? aur kya istarah kay saanp hotay hain? aur meinay yahi jawab dia jo har mokhfi oloom ya rohani oloom jannay wala deta kay "je han bilkol aysay saanp hotay hain", aur aaj mein yahan kuch aysa share karnay wala hon kay yeh sub parhnay kay baad har koi shaks yeh mannay par majbor hojay ga kay haqeqat mein bhi aysay saanp mojod hain jo humaray aspas he rehtay hain,
Bohat say log yahi samajtay hain kay istarah kay saanp kay kisay aur wakiat sirf indian mythology ka hisa hain magar woh log galat samajtay hain kuo kay indian mythology kay sath dunia mein har mazhab aur culture mein istarah kay saanpo ka haqeqat mein honay par yakin hai, aap ko yeah parh kar shayad hayrat ho kay humaray mazhab islam mein bhi istarah kay saanpo kay honay par yakin hai, kafi Ahadees e pak, rawayat, wakiat, kisay istarah kay saanpo par hain, muslim olma e rohaniat wa mokhfiat subi ka istarah kay saanpo ka haqeqat mein honay par yakin hai, islam mein istarah kay saanpo ko "JINAT" kaha jaata hai jo har roop badal sakta hai, ichadhari naag, shesh naag yeh subi jinat saanp hotay hain, kuch in mein mosalman hotay hain, nayk kam kartay hain, logon ko takleef nahi detay inko dervaish saanp ya fakir saanp bhi kehtay hain aur istarah kay saanpo ko gao(village) kay log pehchan jatay hain aur inko martay nahi yeh saanp bohat ziada zehrilay hotay hain agar kisi ko das lay to insan osi waqat mar jata hai magar yeh saanp gao mein gharo mein azadi say atay jatay rehtay hain na woh kisi ko dastay hain na gao walay onko taklef detay hain khud in saanpo ko milk pilatay hain, aur kuch istarah kay saanp shaitan bhi hotay hain jo logon ko har tarah ka noksan detay hain das kar ya boray shaitani asrat say, kala jaadu ya black magick karnay walay inhe saanpo ko taskheer karkay bohat say kam letay hain,

Saanp jinat kay mutalik kafi Ahadees hain jo kuch mein yahan share kar raha hon jiskay parh lenay kay baad aap ko bhi yakin ajay ga kay saanp jinat ya ichadhari naag hotay hain,
Is hadees e pak mein bataya gaya hai kay jinat kai kisam kay hotay hain kuch jinat saanp kay rop mein bhi hotay hain,
Humaray Nabi pak(s.a.w) kay dor mein jinat pehlay mosalman nahi hoay thay aur kahin jo jhar phonk kartay thay in jinat saanp ko jaadu kay zariay taskheer kar kay apnay kam mein latay thay aur mosalmano ko har tarah ki takleef detay thay, jab koi saanp ko marta to saanp os say intakam letay thay jiskay mutalik hadees hai:


Aaj bhi gao(village) mein jo log cobra ya kalay saanp ko mar detay hain woh aksar pagal ya mar jatay hain aysay wakiat humaray apnay gao mein bhi hoay hain, opar hadees mein likha hai "hum nay onsay salah nahi ki jab say larai shoro hoi hai" yehni saanp jinat say salah nahi hoi thi pehlay magar phir onsay salah hogai aur saanp jinat mosalman hogay jiskay mutalik ahadees hain:




Sirf Cobra saanp jo black colour kay hotay hain jo chaltay waqat sar otha kar chaltay hain wahi saanp jinat hotay hain baqi saanp jesay viper snake choti dom walay aur istarah kay kai aur saanp jinat nahi hotay onko mar dalna chahehai jinki images yeh hain:
 
Yeh saanp bohat zehrilay hotay hain Is kisam kay saanpo ko mar dalna chahehai yeh jinat nahi hotay,

 Yeh 2 moa saanp hota hai yeh bhi bohat khatarnak hai, Hadees e pak mein likha hai kay agar yeh saanp pregnant aurat ko dekh lay to aurat kay payt mein mojod bachay ko mar deta hai, aur iskay zehar ki ajeeb taseer hai kay agar yeh kisi ko kat lay to os shaks ko har saal koi na koi saanp das jata hai, iskay zehar mein aak maksos bo hoti hai jo blood mein hal hojati hai aur isi bo ko soong kar koi na koi saanp akar os shaks ko kat leta hai,

 
is kisam kay saanpo ko bhi mar dalna chahehai yeh bhi jinat nahi hotay,

Is kisam kay saanp jo chaltay waqat sar otha kar chaltay hain in mein jinat hotay hain,
Agar istarah ka saanp ghar mein hota hai to osay pehlay mara nahi jata pehlay yeh amal kia jata hai jo hadees mein likha hai kay:
 
  
Agar yeh amal karnay kay baad bhi saanp ghar mein ajay to woh nayk saanp jinat nahi, woh ya to shaitan hai ya kisi kala jaadu karnay walay kay zariay aya hai ghar aur ghar kay afrad ko takleef denay aur nahosat phelanay, aysay shaitan saanp ko mar dalna chahehai,

Gao(village) kay aksar gharon mein aysay saanp hotay hain, gao kay log har saanp ko dekhtay he mar daltay hain magar cobra saanp ko nahi martay halakay cobra saanp bohat zehrilla hota hai kisi ko das lay woh osi waqat mar jata hai, magar cobra saanp jinat hotay hain aur woh kisi ko takleef nahi detay jab tak osay koi takleef na day yeh baat gao kay log achi tarah jantay hain, yeh saanp gharon mein atay jatay rehtay hain aur gao kay log onko milk pilatay hain, gao kay log in saapon ko dervaish, fakir bhi kehtay hain onkay mutabik, aulia, pir, fakir bhi in saapon kay rop mein hotay hain, 


Saanp jinat say salah honay kay baad kafi saanp jinat mosalman hogay aur onhonay Nabi Pak(s.a.w) ko kaha kay aap(s.a.w) apni omat ko keh dain kay woh humay takleef na day aur hum onko takleef na day gay, kafi ahadees hain jis mein Nabi pak(s.a.w) nay farmaya hai kay saanp jinat ko takleef na dain :

Aksar log zamin par banay saanp kay bil mein peshab kartay thay jin say woh saanp jo jinat hotay hain chir jatay hain aur peshab karnay wala shaks jinati asrat mein akay bimar hojata hai ya pagal, yeh aksar gao mein logon kay sath hota hai jinko iskay mutalik malum nahi hota,

 Saanp Jinat jo mosalman hogay thay woh humaray Nabi pak(s.a.w) kay pas apnay masail kay hal kay liay atay rehtay thay jiskay mutalik ahadees hain:

 Kuch muslim jinat saanp kay wakiat yeh hain:





Hazrat Ibn Akeel farmatay hain, humara aak ghar tha jab bhi log is ghar par rehnay aatay thay subha ko morda pay jatay thay, aak martaba aak aadmi aya osnay is ghar ko keraya par lia aur isko pasand kia aur raat gozari aur subha woh sahi aur zinda tha, yeh dekh kar parosi heran hoay, woh shaks kafi arsay is makan mein raha phir kahin chala gaya, os say oskay zinda bach janay ki waja malum ki to osnay bataya jab mein raat ko isha ki nimaz parhi aur Quran pak ki kuch tilawat ki to achanak meinay aak jawan mard ko dekha jo konway say opar ko nikal raha tha, osnay mujay salam kia to mein os say dar gaya, osnay kaha khoof na karo mujay bhi kuch Quran pak sikhlao to meinay osko sikhlana shoro kia, phir meinay os say pocha is ghar ka kya kisa hai? osnay kaha hum mosalman jinat hain tilawat bhi kartay hain nimaz bhi parhtay hain magar is ghar mein aksar badkar log rehnay aatay thay jo sharab peetay aur galat kam kartay thay isliay hum onka gala ghont kar mar detay thay, meinay os say kaha kay mein raat ko tum say darta hon tum din ko aya karo, osnay kaha bohat acha phir woh din kay waqat konway mein say nikal kar aata tha, aak dafa woh Quran pak parh raha tha kay aak sapayra darwazay par aya aur sada lagai kay mein saanp, bad nazari aur jin ka dam karta hon, to os jin nay kaha yeh kya chez hai, meinay kaha yeh jhar phonk karnay wala hai, osnay kaha osay bolao, to mein oth khara hoa aur osay bola lay aya to meinay dekha kay woh jin chahat par bohat bara saanp ban gaya hai, to os sapayray nay jhar phonk ki to saanp lotpot honay laga aur ghar kay darmian gir para to sapayra otha aur osko pakar kar apni gadri mein dalnay laga to meinay osay mana kia, sapayray nay kaha kya tu mujay meray shikar say mana karta hai? phir meinay osay aak sonay ki asharfi di aur woh chala gaya to os saanp nay harkat ki aur jin ki shikal mein zahir hogaya laykin woh kamzor hokar peela par choka tha aur patla hogaya tha, meinay os say pocha tumhai yeh kya hua? osnay kaha kay sapayray nay mujay on isma e mubarka say katal kardia, mujay yakin nahi tha kay mein os say chotkara hasil kar pao ga, aab jab tum konway say cheekh ki awaz suno to yahan say chalay jana, chinachay meinay raat kay waqat awaz suni kay aab tum yahan say dor chalay jao, Ibn akeel farmatay hain oskay baad say os ghar mein log rehaish karnay say rok ghay.
(Kitab Al-fanon ibn akeel, Laqat Al-Marjan, 105)


Quran e pak mein bhi rop badaltay saanp ka zikar mojod hai jesay Hazrat Musa(a.s) ki laathi ka saanp ban jana:

Arab kay olma e rohaniat aur motbar hastio, Aulia aur dervaish logon nay jinat saanpo par kafi kitabay likhi jo kai to zaya hogai magar kuch arabic aur farsi kadeem books mein humay in jinat saanpo kay mutalik kafi kuch information, amliat, tawezat wagayra mil jatay hain, inhe nayab qadeem books ki kuch images yeh hain:
 

 







 






~*~ SAANP KE AMLIAT ~*~
Saanp kai amliat mein use hota hai achay noori amliat ya boray  amliat black magic mein bhi, sadio say achai aur borai ki jang hoti ai hai, jinat saanp ko amliat, ritual ya taweezat say taskheer kar kay on say kam lenay kay tarikay sadion say log kartay arahai hain, arabic ki kafi qadeem books mein aysay amliat likhay hotay hain, meray pas kafi bara zakhira qadeem arabic books ka mojod hai jis mein saanp jinat ko invoke kar kay onko apnay maksad kay liay use karnay kay tarikay likhay hain, saanp ko amliat mein kis tarah use kia jata hai oskay mutalik kuch mein yahan share kar raha hon,
Saanp kay amliat mein jo chez sub say ziada use hoti hai woh saanp ki "kaynchali", snake skin ya snake shed hai, yeh 2 types ki hoti hai aak woh jo tokray tokray hokar nikalti rehti hai yeh kam ki nahi hoti, sirf woh kam ki hoti hai jo saanp pori complete apni body mein say otarta hai yeh saal mein kai bar saanp apni skin change karta hai aur yahi skin kam mein aati hai, skin otartay waqat saanp sost aur andha sa hojata hai aur kaynchali otartay waqat woh kisi nokeli chez ya kantay wagayra mein ara kar gardan peechay ko hatata jata hai jis say rafta rafta tamam kaynchali gilaf ki tarah otarti jati hai aur saanp mein pehlay jesi chosti aur phorti ajati hai, mein aysi saanp ki kaynchali ki talash mein apnay gao(village) kay janglat mein jata rehta hon aur aksar okat mujay wahan say mil jati hai kuch images mein yahan aap say share kar raha hon:
Yeh saanp ki skin mujay aak poranay darakht kay khokhalay hisay mein say mili,








Saanp ki kaynchali kay kafi faiday hain jisay agar isay taweez ki tarah galay mein pehna jay to nazar bad say insan mehfoz rehta hai aur jaadu kay asrat asar nahi kartay, iskay ilawa yeh hikmat mein bhi use hoti hai agar koi zakham hojay aur theek na hota ho aur zakham nasoor ban jay to saanp ki kaynchali jala kar oski raakh(ash) zakham par dalnay say poranay say porana zakham bhi theek hojata hai, 
Zamana e jahalat mein yahodi kahin saanp ki kaynchali say mosalmano par jaadu kia kartay thay aur saanp ki kaynchali wala jaadu bohat asar rakhta hai, arabic ki qadeem books mein saanp ki kaynchali kay amal ko batil karnay kay kai tarikay likhay hotay hain in qadeem books mein aak book Imam Ghazali ki "AL-OFAK" hai jiska urdu tarjoma ki hoi book bhi market mein milti hai jiski image yeh hai:
Is book mein saanp ki kaynchali kay amal ko batil karnay ka easy tarika likha hai jo istarah hai:
saanp ki kaynchali ka amal bohat khatarnak hota hai iskay boray asrat mein koi ajay to woh insan har tarah say tabha barbad hojata hai, aaj bhi yahodi log is amal ko bohat motbar mantay hain, yahodi log saanp ko isliay ziada mantay hain kuo kay Hazrat Mosa(a.s) ki laathi saanp Allah pak kay hokam say saanp ban jati thi, isliay saanp kay amliat ko woh bohat mantay hain aur aaj bhi kuch shops par saanp ki kaynchali sale ki jati hai aur sath mein amliat ka tarika bhi likha hota hai jiski aak image mein yahan share kar raha hon:
opar image mein jo tarika likha hai woh saanp ki kaynchali say "masan" bananay ka tarika likha hai masan aak powder hota jisay amliat mein use kia jata hai, opar likhay saanp ki kaynchali kay masan mein kaboristan ki matti kay sath kuch aur cheezay bhi mix karnay ka likha hai aur phir isay kisi kay shoes mein dalnay say ya kisi kay ghar ya shop mein dalnay say os woh shaks bohat shaded mosibat mein par jata hai, magar kuch batain onhonay clear nahi batai woh yeh kay kis din aur kis waqat aur kis sayt mein yeh amal karna hai, kya parhna hai,  yeh sub isliay nahi bataya gaya takay har koi na kar sakay, agar koi parh kar karnay ki koshish karay ga to amal olta hokar osi par boray asrat dalay ga amal karnay walay par isliay aap bhol kar bhi aysay amal karnay ki koshish mat karna,


Yeh Images spell Bible book ki hain jis mein saanp ki kaynchali ka ak amal bataya gaya hai, istarah kay kai amliat hotay hain jis mein saanp ki kaynchali ko use kia jata hai.

Jogi ya sapayray log saanp ki kaynchali kay amliat kay mahir hotay hain aur kuch samajdar log sapayron say saanp ki kaychali lekar apnay ghar mein rakhtay hain ya phir isko jala kar iski dhooni ghar ya shop ko detay hain takay on kay ghar mein koi jaadu asar na kar sakay, agar achay nayk jinati saanp ki kaynchali ghar mein hogi ya dhooni di jay gi to kisi bhi kisam ka jaadu ghar par asar nahi karay ga, aaj kal sapayray log thag aur fraud hogay hain aur onkay pas ilm bhi nahi hota woh saanp ki kaychnali woh detay hain jo tokray tokray ban kar saanp mein say otarti hai yeh ya to bimari ki waja say saanp otarta hai ya koi dosri waja say, yeh kisi kam ki nahi hoti iskay ilawa sapayray log aam saanp ki kaychali day detay hain jo cobra ya jinati asrat kay saanp ki nahi hoti is kaynchali mein bhi koi asrat nahi hotay, agar aap ko jinati asrat walay saanp ki kaynchali ki zarorat ho aap muj say rabta kar kay lay saktay hain, agar kaynchali sahi hogi to ghar mein kisi bhi kisam kay jaadu kay asrat nahi lagay gay khud jo jaadu karay ga osi par olta asar paray ga iskay ilawa ghar mein barkat aur khushali bhi hoti hai aur har kisam ki nahosat say nijat mil jati hai,
Yeh to hoi baat saanp ki kaynchali kay amal ki, isitarah jinati asrat kay hamil saanp ko invoke kar kay bhi onkay zariay kafi kam liay jasaktay hain, jinat saanp jis jaga rehtay hain os jaga jakar khas amal kar kay onko taskheer karna hota hai in amal mein khas wazaif parhay jatay hain yeh wazaif abrani aur siryani language kay hotay hain in wazaif mein seen aur sheen kay words ziada hotay hain aur in wazaif ko vibrational andaz mein parha jata hai agar koi dosra shaks aap ko wazaif parhtay sunay ga osay aysa feel hoga jesay aap saanp ki language mein he koi baat kar rahai ho, in khas wazaif say jinat saanp apnay bil mein say nikal atay hain aur in wazaif kay asar say woh dastay bhi nahi, jinat saanp kay bil ya ghar ko talash karna asan kam nahi kuo kay saanp jinat bohat jalali hotay hain isliay bohat ahtiat aur khyal say onko talash kar kay invoke kia jata hai mein aksar aysi jagaon par jata rehta hon jahan yeh saanp hotay hain aur in saanp jinat ki talash mein rehta hon:

  

Black cobra saanp zameen par banay bil, ghar ya pahar mein banay cracks mein rehta hai, andhayra ziada passand karta hai isliay andhayri jagaon par hota hai,

yeh aak pahari ilakay ki images hain, yeh pahari ilaka meray gao(village) say kuch dor hai, is ilakay mein kafi saanp pay jatay hain aur mein aksar isi jaga par saanpo ki talash mein rehta hon aur kai saanp menay isi ilakay mein talash kar kay pakray hain aur onko apnay rituals wagayra mein use karta hon,

Yeh saanp black cobra hai, yeh saanp bohat zehrila hota hai, iskay katnay say insan half hour kay andar mar sakta hai, agar is saanp ko mara ya zakhmi kia jay to yeh intaqam lenay ki koshish karta hai, iski omar bohat lambi hoti hai jab tak isay koi na maray yeh khud say nahi marta, saanp ki lambi omar ki waja say aur oskay mar janay kay baad jald matti na honay ki waja say Arabic mein isay "Hayat" kehtay hain.
Saanp ki ankhon mein qudrat nay aak sehri kashish rakhi hai, woh apni is kashish say apnay shikar ko nazron say dekhtay hoay bay his ya hypnotise kar deta hai aur phir kareeb akar das leta hai, yeh khasiat ziada tar black cobra saanp mein hoti hai,



saanp mein jo jinat hotay hain onkay kai amliat aur invocation hotay hain jo kai arabic qadeem books mein likhay hotay hain in books ki kuch images yeh hain:



meray pas aak qadeem arabic book ka urdu tarjoma mojod hai os mein aak taweez ka amal mein yahan share kar raha hon:
is amal say saanp dushman ko dasta hai ya phir khof zada karta hai yehni dushman ko har jaga saanp nazar anay lag jata hai aur woh pagalon jesi harkat karnay lag jata hai, meinay taweez ki image share nahi ki takay najaiz koi is amal ko na karsakay.
Mein aksar saanp mein mojod jinat kay invocation kay amal ya amliat wagayra karta rehta hon aur kam hojanay kay baad onko osi jaga chor aata hon jahan say pakra hota hai, meinay kai apnay kam mein in jinati saanpo ko use kia hai aur aab bhi karta rehta hon,
Jinati asrat walay saanp ko amliat mein use karnay kay liay opar image mein jo matti ka pot hai istarah kay pot mein rakha jata hai aur pot par jali dar barik kapra bandh dia jata hai,


Jinati asrat kay hamil saanp ko istarah matti kay pot mein rakh kar kisi andhayri jaga par rakha jata hai aur osko taskheer karnay kay liay khas wazaif parhay jatay hain os waqat jis raat chand asman par na ho, bilkol andhayri raat ho is waqat ko arabic mein "tehat al-sha" kehtay hain, pot mein banay taweez kay asar say saanp mein mojod jinat koi noksan nahi pohancha sakta woh bilkol pot kay hisar mein band hota hai, is tarikay say woh pora kabzay mein ajata hai aur iskay zariay kafi kam ya problems solve ki jasakti hain,


kam hojanay kay baad saanp ko azad karna zarori hota hai warna yeh dushman ban jata hai aur ritual complete honay kay baad osay kisi kholi jaga par ahtiat say nikala jata hai pot mein say roshni mein ya dhoop mein aur yeh osi apni jaga chala jata hai jahan rehta hai.


~*~ ALCHEMY (ilm Al-Seemia fe Al-Keemia) ~*~ 
Alchemy ka ilm Ancient Egyptian kay olma e rohaniyat jantay thay on kay baad is ilm ko Arab kay olmao nay bohat taraqi di, alchemy 3 kisam ki hoti hai, 1 kisam woh jis mein medicines ya dawai wagayra ya koshtay wagayra bana ay jatay hain jo hakim banatay hain, 2 kisam ki alchemy woh hai jis mein metals ko gold banaya jata hai, 3 kisam ki alchemy woh hoti hai jis mein amliat kiay jatay hain ya tilsim wagayra banatay hain aur mera topic isi amliati alchemy par hai jis mein saanp ko kistarah alchemy mein use kia jata hai oskay mutalik mein kuch yahan share kar raha hon, amliati alchemy ko arabic mein "Aymal e Harmis" kay nam say pukara jata hai, ilm al-seemia fe al-keemia ka matlab hai ilm alchemy kay zariay amliat karna, ilm alchemy kay zariay kafi amliat ki cheezay banai jati hain aur saanp ko alchemy mein use hazaron saal pehlay ancient egypt mein kia jata tha aur aaj bhi use hota hai jiskay mutalik kuch batain mein yahan share kar raha hon,




  


 

Ilm Alchemy mein aksar saanp ka oil, elixir wagayra banaya jaata hai jo kai bimario mein shifa deta hai, hum sub jantay hain kay hakim log jo hikmat ka ilm jantay hain woh istarah ki chezay banatay hain magar aak alchemy ka ilm poshida hota hai jo seena ba seena is raaz ko khas logon ko bataya jata hai aur kisi aam shaks say share nahi kia jata yeh amliati alchemy ka ilm hota hai, aaj kal is poshida ilm kay raaz say bohat kam log wakif hain jo wakif thay woh yeh raaz apnay sath kabaron mein lay ghay aur kuch symbolic andaz mein is raaz ko qadeem books mein likha in symbols ko har koi nahi samaj sakta sirf wahi samaj sakta hai jo rohani oloom janta ho, in secrets symbols mein astrological symbols aur aysay ajeeb symbols hotay hain jisay parhna ya samajna har kis kay bas ki baat nahi yeh symbols kistarah hotay hain aap in images mein dekh saktay hain:






Opar image mein astrological symbols kay sath alchemy kay ajeeb symbols hain, alchemy aur astrology ka apas mein bohat gehra taluk hai aur amliati alchemy mein sitaro kay sharf, habot, girhan wagayra jesay khas okat mein khas cheezay tilsim, oil, elixir wagayra bana ay jatay hain khas waqat mein alchemy mein banai cheezon mein bohat asrat hotay hain,




ALCHEMY SNAKE OIL: 
Alchemy mein saanp ka 2 kisam ka oil banaya jata hai aak woh jo hikmat mein use hota hai jo market mein bhi mil jata hai pansari ki shop ya kisi bari oil shop par yeh oil kafi bimario mein shifa deta hai,


 

Magar jo Amliati alchemy mein saanp ka oil banaya jata hai woh alag tarah ka khas oil hota hai jo jaadu kay asrat ko khatam karta hai aur kai amliat mein bhi osay use kia jata hai, yeh oil khas waqat aur saayt mein banaya jaata hai,
Arab kay olma e mokhfiat wa tilsimat alchemy kay zariay kafi khas chezay banatay thay, aak qadeem arabic kitab mein hakem Taos ibn e Tarmah Humdani likhtay hain kay Marbot wa Makod aak rohani marz hai, marbot wa makod say murad olma e mokhfiat wa tilsimat kay nazdeek sex mein bandish kay sabab mardana kamzori ka mariz ban jana hai, iski 3 kismay hoti hain aak to sehar wa jaadu ka shikar hojanay ki waja say, dosri kisam jinat kay bad asrat ki waja say aur tesri kisam paydaishi ya qudrati jismani tor par jinsi kowat ka batil hojana hai,
Sehar wa jaadu kay sabab marbot wa makod honay ki nishani yeh bayan ki jati hai kay aadmi achanak he jismani tor par har tarah say sehat mand honay kay bawajod apnay aap ko jinsi tor par mafloj mehsos karnay lagta hai, woh aam halat mein apnay aap ko har tarah say sex par qadir khyal karta hai lekin sex kay waqat achanak oski feelings khatam hokar oskay jazbat sard par jatay hain jiski waja say oski wife osay na mard samaj kar nafrat karnay lagti hai aur dosray kisi mard say muhabat karnay lag jati hai jis say judai ya divorce hojati hai aur os shaks ki zindagi tabha wa barbad hojati hai woh kisi bhi aurat kay kabil nahi rehta aur jab sehar wa jaadu kay asrat last stage par pohanch jatay hain to woh shaks ya to suiside kar kay apni zindagi khatam kar deta hai ya phir osko jism kay khas hisay par aysi la ilaj bimari lag jati hai jis say oski mot hojati hai,

Jinati ya shaitani asrat ki waja say marbot wa makod honay ki ilamat yeh hai kay aysa shaks behoda movies ya photos dekhnay lag jata hai aur mosht zani karta hai aur rastay mein chaltay hoay kisi ki ma, behan ya beti par bori nazar dalta hai, behoda harkatay karna, awazay nikalna, zor zor say hasna, behoda kapray pehanna, aysi t-shirts pehanna jis par skeleton, bhoot ya shaitan bana ho, aysa shaks din ba din shaitan banta chala jata hai, nimaz ya ibadat to dor ki baat aysay shaks ko to khuda ki zaat par bhi yakin nahi rehta, woh shaks pura haywani shaitan ban jata hai aur is asrat kay last stage mein woh nasha karnay lag jata hai aur jaraim kay payshay mein akar police kay hathon mar jata hai ya phir nashay say,
Jinati aur shaitani asrat achanak attack kartay hain jab koi shaks akayla hota hai jesay computer par betha net par koi kam kar raha hota hai achanak woh behoda sites dekhnay lag jata hai ya akaylay mein ajeeb behoda paglon jesi harkat karnay lag jata hai aur jab hosh mein ata hai to apnay aap ko kosnay lag jata hai kay yeh mujay kya hogaya tha achanak, yeh jinati asrat aysay virus ki tarah lagtay aur pheltay chalay jatay hain kay insan ko oski aadat see hojati hai, woh aak tarah say majbor sa hojata hai aysay behoda kam ya harkat karnay mein aur apnay aap ko na pak samaj kar nimaz aur ibadat karna bhi chor deta hai, aysay boray asrat say bachnay kay liay koi taweez ya mazar ka dhaaga wagayra har waqat pehna ho takay in boray asrat say protection milay aur hisar mein ho,
Agar koi shaks marbot wa makod kay marz ka shikar hochoka hai to osay black cobra snake kay khas oil say jo khas waqat aur amal say banaya jata hai is oil say tamam jism par istarah massage karay kay baal barabar bhi koi jaga na bachay 14 days tak is amal ko karta rahai to khuda ki hikmat e kamila say sehar wa jaadu kay tamam tar asrat batil hokar os mariz ki kowat dobara behal hojay gi,
mardon ki tarah aurtay bhi marbot wa makod ka shikar hojati hain jis say onkay husband onko chor kar dosri aurat kay chakar mein phans jatay hain, kafi larkia jin par marbot wa makod kay asrat hotay hain onki shaadi kahin nahi hoti aur koshishon say jab shaadi ho bhi jaati hai to shaadi kay baad bhi onko husband ka pyar naseeb nahi hota, yeh bandish hoti hai jo sehar wa jaadu ya jinati asrat ki waja say hoti hai.

Amliati Alchemy mein yeh khas saanp ka oil khas waqat mein banaya jata hai andhayri raaton mein jab chand asman par na ho is waqat ko arabic mein "Tehat Al-Sha" kehtay hain, mein aksar aysay oil banata rehta hon aur is oil say na sirf marbot wa makod kay marizon ko shifa milti hai sath mein yeh aur bhi kai meray amliat mein use hota rehta hai,
Ilm Alchemy mein oil kasheed karnay kay bohat say apparatus hotay hain in apparatus ko "Patal Jantar" kay nam say pukara jata hai yeh apparatus kuch istarah hotay hain jin ki images yeh hain:

Mein apnay khas patal jantar apparatus say oil kasheed karta hon jinki images yeh hain:

Opar image mein flask par aak khas matti lagai hai is amal ko Alchemy mein "Gol e Hikmat" kehtay hain is amal say flask heat say phatnay ya totnay say mehfoz rehta hai,
Mein apnay is apparatus ki madad say snake oil banata rehta hon aur kafi marizo ko is oil say shifa mili hai,


Saanp ka ark bhi kafi amliat mein use hota hai khas kar perfumes wagayra mein, yeh khas perfumes kisi ko taskheer karnay jesay  kamo mein use hoti hai,

Saanp ki har ak shay amliat mein use ki jati hai, opar image mein arabic mein saanp ki muktalif chezon kay nam likhay hain, "Zayt Al-Hayat" ka matlab saanp ka oil hai, "Ramad Al-Hayat" ka matlab Saanp ki jali hoi raakh jisay masan bhi kehtay hain, "Azam Al-Hayat" ka matlab saanp ki hadia hai, "Maslakh Al-Hayat" aur "Rooh Al-Hayat" ka matlab saanp ki kaynchali aur saanp ka ark hai, yeh subi cheezay amliat mein use ki jati hain,
Mein aksar alchemy kay zariay hikmat aur amliat ki aysi khas cheezay banata rehta hon jis say kai logon ki physical aur rohani problems ko solve kia hai aur aap sub ki duaon say inshAllah har mosibat aur parayshanio mein phansay logon ki madad karta rahon ga, agar khuda na khuwasta aap kay sath bhi physical ya spiritual problems hon to apnay is bhai ko zaror yaad kejiay ga, mein Allah pak kay hokam say aur is poshida ilm say aap ki inshAllah zaror problems solve kardo ga.


Apnay bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,
Allah pak aap sub ko sada khush wa abad rakhay(ameen)

0 Your Comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Pageviews

free counters

Share it