Search This Blog

Thin Seminal Fluid - Patli Mani

Patli (Thin) Mani Jinsi Aur Takhleeqi Kamzori Ki Alamat Hai?
Kashif ek sehat mand naujawan tha yeh shadi sey pahlotahi kar raha tha. Elaj kay liye mera pas aya. Iss ka yeh khayal tha ka kyun ka eski mani (seminal fluid) bohut thin hai lehaza woh jinsi tor per kamzor hai jiski wajah sey woh biwi ko satisfy nahi kar sakaiga aur dusra iss ka bachai bhi paeda nahi hongai. Yeh ek aur ghalat baat hai ka agar mani (seminal fluid) thin hai to yeh jinsi kamzori ki alamat hai aur essai takhleeqi kamzori bhi zahir hoti hai. Yani agar mani (seminal fluid) thin hogi to essai bacha paeda na hoga. En dono baton ki koi haqeeqat nahi hai. Latest research sey en dono baton ki tardeed hoti hai. (Zakir:Mobeen)
Usul to yeh hai ka mubashrat (Intercourse) kay doran jab insan ka inzal (ejaculation) hota hai to mard ka sperms fallopian tube mein pohonch kar hamal (pregnancy) ka sabab bantey hain. Magar baaz auqat mard kay inzal (ejaculation) kay baghair bhi aurat pregnant ho sakti hai. Iss ki sorat kuch youn hoti hai kay inzal (ejaculation) sey pehley penis sey ek khaas liquid kay 1 ya 2 qatrey (drops) kharij hotey hain. Baaz auqat iss liquid mein sperms bhi hotey hain. Chunachey insan jab mubashrat (Intercourse) kay doran inzal (ejaculation) nahi karta magar yeh qatrey (drops) nikal jatey hain jiski wajah sey baaz auqat inzal (ejaculation) kay baghair bhi aurat pregnant ho jati hai. Agarcha iss kay imkanat bohut hi kam hai. (Hyde)

0 Your Comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Pageviews

free counters

Share it