Search This Blog

Kiya Boorhon (Old Age) Ko Sex Ki Zaroorat Nahi?

Merey ek sathi mahir e nafsiyat Syed Sabir Hussain ney apna ek case merey sath discuss kara. Barey miyan shadeed tanhaee aur depression ka shikar thay. Nafsiyati elaj kay doran maloom hua kay inki biwi bhi hayat hain aur issi ghar mein mojood hain magar donon alag alag rooms mein sotey hain aur donon tanhaee ka shikar hai. Hamarey yahan bad qismati sey samjha jata hai kay old age parents ko sex ki zaroorat nahi. Jiski wajah sey inn becharon ko mubashrat (Intercourse) kay liye tanhaee nahi milti. Awwal to donon ko alag rooms mein sona parta hai ya phir maa (mother) ek son kay pass rehti hai aur father doosrey son kay pass. Iss tarhan donon na sirf jinsi lutf sey mehroom rehtey hain bul kay shadeed tanhaee ka shikar ho kay waqt sey pehley hi maut ki wadi mein gum ho jatey hain. Bohut si researches sey yeh baat sabit ho chuki hai kay old age logon ko bhi aam jawanon ki tarhan sex ki zarorat hai. Kyun kay bharpoor jinsi zindagi sey na sirf sehat behter hoti hai bul kay age mein bhi izafa hota hai. Iss kay elawa mardon mein arthritis, prostate aur heart attack kay masail bhi kam ho jatey hain. Lehaza zehni sukoon, achi sehat aur lambi umer kay liye old age logon ko week mein ek bar zaror mubashrat (Intercourse) sey luft andoz hona chahiyie.
Agar koi old age insan taqreeban 60 days tak mubashrat (Intercourse) sey mahroom rahey to phir shayad hi kabhi dubara mubashrat (Intercourse) ka kabil ho sakai. Aik usul hai use it or loose it. (Hyde: Time)

0 Your Comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Pageviews

free counters

Share it