Misconceptions About Masturbation 
26  sala Asif elaj kay liye merey clinic aaya. Masley  ki tafseel batatey  huey uss ney bataya kay woh bohut kamzor ho chuka  hai. Din ba din uski  mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai aur ab woh  biwi kay qabil nahin  raha. Usey shadeed ehsaas e gunah bhi tha, ek baar  khudkushi ki koshish  bhi kar chuka hai. Uss ney bataya kay woh musht  zani (masturbation) ka  shikar hai aur koshish kay ba wajood isey chor  nahin saka.      Mani (semen) kay ikhraj ka teesra aur ahem zarya  khud lazzati aur  musht zani hai isey hathrasi, dastkashi aur  handpractice bhi kaha jata  hai. 
    Khud lazzati aur musht zani  mein ma'amooli sa  farq hai. Khud lazzati sey muraad yeh hai kay fard  mubashrat kay elawa  kisi bhi aur tariqey sey mani kharij karey. Khud  lazzati ka sab sey ahem  zarya musht zani hai. Musht zani sey muraad  apney hath sey ya kisi  doosrey kay hath sey mani ka ikhraj karna. Ba'az  mahireen (oral sex) mu'nh sey sex ko bhi khud lazzati mein  shamil  kartey hain. Yeh baat yaad rahey kay mani kay ikhraj sey roza  toot jata  hai aur fard per ghusl wajib ho jata hai. (mishkat)
Khud lazzati kay bohut sey tariqey hain sab sey  aam to zakar (penis) ko hath sey mushta'el karna hai.  Magar ba'az log maq'ad (anus) aur peeshab ki naali  mein koi cheez  daakhil kar kay bhi jinsi lutf uthatey hain. Maq'ad aur  peeshab ki  naali mein koi cheez daakhil karna muhlik ho sakta hai. Iss  sey har  soorat bachna chahiyie. Mera ek client apni peeshab ki naali  mein kabhi  pencil, kabhi tinka daakhil kya karta tha. 
    Humarey haan sab sey zyada ghalat baatein (myths)  musht zani kay hawaley sey mashhoor hain. Jinhon ney  naujawan nasal ko pareshan kar rakha hai. Musht zani  mein fard hath sey apni jinsi khwahish ko poora karta hai. Naujawan  iss  amal ko haftey mein ek ya do baar kar letey hain. Merey ba'az  client  rozana aur ba'az ek din mein 6 ya 7 baar tak kar letey hain.  Mera ek  shadi shuda client 24 ghanto'n mein 15 dafa tak karleta tha.  Iss ney  aisa kaee baar kya. Yani woh jagtey mein taqreeban har ghantey  mein ek  baar kar leta tha, woh abhi zinda hai, kaee bachon ka baap hai.  Kitabon  mein ek aisey fard ka bhi zikr milta hai jo har ghantey mein 3  ya 4 baar  musht zani kar leta tha. 
Hindustan, Pakistan  mein naujawanon ka sab sey ahem masla musht zani hai.  Yeh masla mardon mein zyada aur aurton mein kam hai. Mukhtalif   researchers (muhaqqaqeen) kay mutabiq 95 ta 99% mard iss aadat ka shikar   hain. Ma'aroof researchers sherry,hyte kay survey kay mutabiq 99%   mardon ney kabhi na kabhi musht zani ki hai. Mashhoor mahir e nafsiyat   Fryde ka khayal hai kay saarey mard kabhi na kabhi khud lazzati  kartey hain albatta 95% iqraar kartey hain aur baqi 5% jhoot boltey   hain. Magar research aur mera clinic ka tajurba fryde kay iss khayal ki   tardeed karta hai yani 1% khud lazzati nahin kartey,  Mein aisey logon sey waqif hun jinhon ney kabhi khud  lazzati nahin ki  albatta unko ehtelam khoob hota tha. Bohut sey bachey  10 saal ki umer  sey pehley musht zani shuru kar detey hain. Ba'az bachey  6 maah ki umer  sey musht zani karney lagety hain, albatta inka andaz  baron sey  mukhtalif hota hai maslan maan bachey ko nehaltey waqt jab uss  kay  zakar ko mul kar saaf karti hai to usey shahoot aa jati hai aur  uska  zakar akarr jata hai yani usey erection ho jati hai. Isi tarah aap  ney  dekha hoga kay 6, 7 maah ka bacha bister per leta apney akrey zakar  sey  khel raha hai (choti umer kay bachey agar apney zakar ko chaerein to   unko daantney ki bajaey unki tawajjah kisi aur taraf kar dein) iss umer   mein bachon ko jinsi lutf (orgasm) to hasil hota hai magar inzal nahin   hota. Mani ka ikhraj ya baloghat kay ba'ad hota hai. Merey paas ek  bacha  laya gaya bachey ki  umer 4  saal thi woh apney zakar ko maan ya baap kay jism sey ragerr kar  suroor  hasil karta. Yaad rahey kay bachey kop maan kay paet mein tanau   (erection) ho jata hai. (Hyde)      Agarcha khud lazzati ka zyada ter shikar larkey  hotey hain jin ki shadi  na hui ho magar ab jadeed research sey ma'aloom  hua hai kay shadi  shuda mard bhi iss aadat mein mulawwis hain.
Mashhoor  American muhaqqiq Kinsey ki research kay  mutabiq America 70% shadi  shuda graduate saal mein taqreeban 24 baar  musht zani karletey hain  yani ek maah mein do baar tak musht zani kay  zaryey mard amooman 2 ta 5  minute mein inzal hasil karletey hain.Jab kay aurtein 5 ta 10 minute mein jinsi urooj (orgasm) hasil karti hain.
    Khud lazzati/musht zani (masturbation) kay  hawaley sey humarey haan  bohut sey gumraahkun aur ghalat tasawwuraat  (myths) aur kahaniyan  phaeli hui hain jin sey naujawan bohut zyada  khaufzada hain magar woh  shadi tak usey control nahin kar saktey.
    Musht zani kay hawaley sey humarey naujawan do  qism kay masail ka shikar hain.  
- Jinsi, jismani aur zehni kamzori ka ehsaas aur khauf
 - Shadeed ehsaas e gunah
 







0 Your Comments:
Post a Comment