Search This Blog

Islami Talimat Aur Jinsi Zindagi (Sexual Life In Islam)

Islam ek mukammal zabta e hayat hai jiss ney apney paero kaaro'n ko zindagi kay har shobey mein rehnumaee fraham ki hai. "Jinsi Zindagi" (sexual life) insaani zindagi ka ahem tareen pehlu hai. Chunancha Allah ney Hazrat Adam kay sath Amma Hawwa ko paeda farmaya. Quran Majeed mein irshad hai kay, "uss ney tumharey liye tumhari hi jins sey biwiya'n bana'een ta'kay tum unn kay paas sukoon hasil karo" (Surah Rome Ayat 21) Isi liye Allah kay nabi ney farmaya kay nikah meri sunnat hai jiss ney iss per amal na kiya woh hum mein sey nahin. Hazrat Muhammad ney ek aur jagah farmaya "Allah haq baat kehney sey nahin sharmata". Chunancha Quran mein jinsi zindagi kay ahem usolo'n maslan shaadi (marriage), mubashrat (intercourse), mubashrat kay tariqey (sex positions), mani (seminal fluid), rehem e madar, haez (menses),
hamal (pregnancy) aur uss kay mukhtalif adwaar, bachey ki paeda'esh, zina (adultery) aur hum jinsiyat (homosexuality) waghaera ka zikr hai. Doosri taraf Allah kay nabi ney bhi bari tafseel kay sath jinsi zindagi kay mukhtalif pelu per roshni daali hai. Bud qismati sey hum mein sey aksar log iss sey aagaah nahin. Khushgawar azdawaji zindagi kay liye ilm ki zaroorat hai. Kisi ney khoob kaha hai kay 'Knowledge is power and sexual knowledge is super power' chunancha merey khayal mein Pakistan mein har fard ko jinsi ta'aleem ki zaroorat hai.

0 Your Comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Pageviews

free counters

Share it