Mardana quwwat kay liye jitni bhi adviyat (drugs) hain yeh sab penis mein khoon circulation ko zyada kar kay tanau (erection) paeda karti hain. Inn mein viagra khas kar ma'aroof hai. Yeh aik achi dawa (drug) hai magar yeh bhi khud ba khud tanau (erection) paeda nahi karti bul kay iss kay liye sexual stimulation ki zaroorat hai. Mardana quwwat ki adviyat (drugs) har fard kay liye suitable nahi. Specially heart, kidneys, blood pressure kay patients kay liye yeh mohlik hai. Viagra sey ab tak ek andazey kay mutabiq 30 death ho chuki hain. Iss kay elawa yeh dawa hamesha kamiyab nahi hoti hai. Viagra ki kamiyabi ka ratio 80% hai. Iss hawaley sey ahtiyat ki zarorat hai. Sirf patent adviyat (drugs) hi estimal kari jain. Aaj kal herbal adviyat (drugs) famous horahi hain. Inn adviyat (drugs) mein sey aksar mein viagra hi shamil hoti hai. Magar aksar adviyat (drugs) ka asar nafsiyati hota hai. Weekly Times kay mutabiq ek bar phir yeh sabit ho chuka hai kay 90% sex insan kay dimagh mein hota hai chunacha aksar masail aur inn ka hal nafsiyati hota hai.
Mardon ney achi khoorak khaney kay bohut sey bahaney talash kar rakhey hain, aur khawateen barey shoq sey inko yeh khoorak mohaiyya karti hain kyun kay jinsi amal donon ka liye sukoon ka ba'is hai. Hamarey yahan har fard yeh samajhta hai kay khoorak ka mardana quwwat kay sath gehra ta'alluq hai. Iss kay liye hakeemon ney mardana quwwat ki khoorak ki achi khasi ek list banaee hai maslan yeh khayal kay mubashrat (Intercourse) sey pehley milk aur jalaibee aur fresh cream khaney sey mardana quwwat mein izafa hota hai aur mubashrat (Intercourse) kay baad milk peeney sey tawanai ki kami puri hojati hai. Khoorak (diet) kay hawaley sey bhi bohut research ho chuki hai magar abhi tak koi aisi khoorak discover nahi ho saki jo mardana quwwat mein ezafa karey albatta har woh khoorak jo general sehat kay liye achi hai wohi jinsi quwwat kay liye bhi mufeed hai issi tarhan woh khoorak jo sehat kay liye nuqsan deh hai woh jinsi sehat (sexual health) kay liye bhi nuqsan deh hai. Mardana quwwat kay liye low fat diet mufeed hai jo general sehat ka liye bhi mufeed hai. (Bechtel)
0 Your Comments:
Post a Comment